(Bang-e-Dra-111) Raam
Allama Iqbal
Labraiz Hai Sharab-e-Haqiqat Se Jam-e-Hind
Sub Falsafi Hain Khita-e-Maghrib Ke Raam-e-Hind
Ye Hindiyon Ke Fikr-e-Falak Ras Ka Hai Asar
Riffat Mein Asman Se Bhi Uncha Hai Baam-e-Hind
Iss Dais Mein Huwe Hain Hazaron Malak Sarasht
Mashoor Jin Ke Dam Se Hai Dunya Mein Naam-e-Hind
Hai Raam Ke Wujood Pe Hindustan Ko Naaz
Ahl-e-Nazar Samajhte Hain Uss Ko Imam-e-Hind
Ejaz Uss Charagh-e-Hadayat Ka Hai Yehi
Roshan Tar Az Sehar Hai Zamane Mein Sham-e-Hind
Talwar Ka Dhani Tha, Shujaat Mein Fard Tha
Pakeezgi Mein, Josh-e-Mohabbat Mein Fard Tha