xtive
FULL MEMBER
- Joined
- Dec 11, 2007
- Messages
- 287
- Reaction score
- 0
Jesa kay app sub jantay hain kay aaj kal Media ka dour hay. PTV ki jaga ab 50 say zyada private channels lay chukay hian. News, Entertainmen TVs,Islamics,Musical or kids channels main Pakistani Media apnay qadam jamany ki koshish main din raat masroof hain. Isi media age main Info-Pak relation main bhi kafi behtari hoti dekhai deti hay jis ki wajah say dono atraf say Indo-Pak against propaganda(in Media) main bhi kafi kami nazar aai, to dosri taraf Indo-Pak co-ordination say media pr kafi programs or poject launch kiyay gay jin main serials,music,films or dosray kai program shamil hain. Inhi activities kay sath sath dono mumalik kay celebrities nay achay relationship ko farogh dainay kay liyay visits ka silsila bhi jari rakha.
To dosri taraf joint casted movies to bani hi, isi kay sath indian movies ki pakistan main numaish bhi 2007 main ki gai (agarchay cable kay hotay iski zaroorat na thi).
YAhi wajah hay kay aaj kal ye sawal har khas-o-aam ki zaban per hay kay kiya Pakistan main indian films ki numaish aik acha Qadam hay...ya nahin?? Indian media kay technology main ham say agay honay ki wajah say Indian films ka Lollywood movies say acha lagna aik natural bat hay magar sochnay ki bat ye hay kay kya isi Pakistani peopls kay zooq ki taskeen or Pakistani cenima kay liyay revival klaha ja sakta hay, jabkay dekha jay to Pakistani cenima pr is kay kuch khas nataij baraamad nahin huy, shaiqeen cenimas main wapas nahin aay or indian movies ki cenima main bhi numaish nakam rahi.
Hamain ab kuch cheejoon ka sanjeedgi say jaiza lena hoga:
1_ Kya Indians Films ki Pakistan Main numaish aik sahih qadam hay ya nahin..??
2_ Ye trend Pakistani cenima kay liyay aik nai rah hamwar karay ga ya us kay liyay akhri hichki sabit hoga..??
3_ Cable per uncesored movies kay phailao kay baad cenima revival kay namm per ye new activity hamari new genration per kya asraat dalay gi..?
4_ Kya ye iqdam Indo-Pak ta'alluqat ko behtar bananay main aham sang-e-meel sabit ho sakay ga ya nahin..?
5_ Kya ye hamaray rahay sahay culter per bhi asraat murattab kar sakta hay..??
Note: In tamam batoon ka maqsad just debate hay is say kisi ko heart karna maqsood nahin hay.