What's new

Urdu & Hindi Poetry

10918990_904882716236398_4265563188094331062_n.jpg
 
. .
This is from Faraz I guess. However, something is not right about this. Somehow it is not balanced. @HRK

Log sajdoN meiN bhi auroN ka bura sochtey hein...

Hum sajdoN meiN bhi logon ka bura sochtey hein...

can't say much but I think 'kisi nuazmoda sahair ne Faraz ki zameem main tabaizami ki hai' btw this sher is quoted with the names of different poets like Faraz, Moshin Naqvi & Nasir Kazmi .... this is certainly not an authentic piece of work of any of that poet
 
.
I request members not to degrade this thread with some roadside shayari...contribute some fine shayari by Ghalib etc....


aashiqii be-dilii se mushkil hai
Ahmed Faraz


aashiqii be-dilii se mushkil hai
phir muhabbat usii se mushkil hai

ishq aaGaaz hii se mushkil hai
sabr karanaa abhii se mushkil hai

ham ?? aasaa.N hai.n aur hamaare liye
dushmanii dostii se mushkil hai

jis ko sab be-vafaa samajhate ho.n
bevafaa_ii usii se mushkil hai

ek do duusare se sahel na jaan
har ko_ii har kisii se mushkil hai

[sahel=approachable]

tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar
vaapasii us galii se mushkil hai

---------- Post added at 03:30 AM ---------- Previous post was at 03:29 AM ----------

aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa
Ahmed Faraz


aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa

itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to Dar jaayegaa

[maanuus=intimate; Khilvat-e-Gam=sorrow of loneliness]

tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa

[sar-e-raah-e-vafaa=path of love; baam-e-rafaaqat=responsibility towards love]

zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa

[ataa=gift; baKhshiish=donation; dahaliiz=doorstep]

Duubate Duubate kashtii to ochhaalaa de duu.N
mai.n nahii.n ko_ii to saahil pe utar jaayegaa

[ochhaalaa=upward push]

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa

This is from Faraz I guess. However, something is not right about this. Somehow it is not balanced. @HRK

Log sajdoN meiN bhi auroN ka bura sochtey hein...

Hum sajdoN meiN bhi logon ka bura sochtey hein...
Wah...Nice one

Yahi hai zoq e ibadat ki intiha SAGHAR
gham e hayat ke maro ka ihtiraam karo
Saghar Siddiqui
 
. .
.mm
.m
10882178_779222215464575_7128954374215031088_n.jpg


..............................
 
.
ملے جو حشر میں لے لوں زبان ناصح کی
عجیب چیز ہے یہ طول مدعآ کے لیے


۔ داغ دہلوی

@HRK
 
Last edited:
. . .
I think, "Ajab" is more suited instead of "Ajeeb" in first line
It is possible and it wont affect the sher per se. In fact, I have seen 'version' of this sher where "Ajab" is used and not "Ajeeb". I don't know who this couplet belongs to so very difficult to verify which version is correct.

Technically, and in my humble opinion, it should be like this:

Ajeeb teri siasat, ajab tera nizam

Ajeeb is generally used with things to which feminine gender is conventionally attributed such as 'siasat' (hoti hey), dunya (hoti hey) etc.

Ajab, on the other hand is generally used with things to which masculin gender is attributed such as 'haal' (hota hey), 'waqt' (hota hey), 'muamla' (hota hey) etc.

Example: From Moulana Haali

Aye khaasa-e-khaasaan-e-Rusul waqt-e-dua hai
Ummat pey teri aakay
ajab waqt para hai

Example: From Daagh Dehlavi

Ajab apna hal hota jo visaal-e-yaar hota
Kabhi jan sadqey hoti kabhi dil nisar hota


Example: Habib Jalib

Teri aankhon ka ajab turfa saman dekha hey
Aik aalam teri jaanib nigran dekha hey

But there are exceptions and I have read pieces where the two words have been used interchangeably.
 
Last edited:
.
Excellent description of hypocrite Pakistani politicians especially JUI/JI leaders and folks.

عشق قاتل سے بھی مقتول سے ہمدردی بھی
یہ بتا کس سے محبت کی جذا مانگے گا

سجدہ خالق کو بھی ابلیس سے یارانا بھی
حشر میں کس سے عقیدت کا صلہ ماںگے گا


علامہ اقبال
 
Last edited:
. . .
.
Waise tu har Pajama mai narda hota hai ..
jo aya duniya mai , use jaana hota hai ...

meri khamoshi ko kamzori na samjh aye nadaan
har kuttay ka din bhi tu anaa hota hai


Ibn-e-Rockstar08 :D

dekha tujhe tu mera din yun nikhar gaya ..
bhaagon mai jaise koi phool sawaar gaya ...
subah ki pehli kiran ke sath jo dekha tera mukhra ,
kasam paida kerne wali , tera bhai sachi mai daar gaya ..

Ibn-e-Rockstar08
aapne shyari ko jis unchaiyon par pahunchaya hai...
vo beshak kaabil e taarif hai......kya umda composition hai...
 
.

Latest posts

Country Latest Posts

Back
Top Bottom