What's new

Urdu & Hindi Poetry

ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N
Ahmed Faraz

ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N
yaad kyaa tujh ko dilaaye.N teraa paimaa.N jaanaa.N

[tajdiid=renewal; imkaa.N=possibility]
[jaanaa.N=dear one/beloved; paimaa.N=promise]

yuu.N hii mausam kii adaa dekh ke yaad aayaa hai
kis qadar jald badal jaate hai.n insaa.N jaanaa.N

zindagii terii ataa thii so tere naam kii hai
ham ne jaise bhii basar kii teraa ehasaa.N jaanaa.N

[ataa=given by; basar=to live; ehasaa.N=favour]

dil ye kahataa hai ki shaayad ho fasurdaa tuu bhii
dil kii kyaa baat kare.n dil to hai naadaa.N jaanaa.N

[fasurdaa=sad/disappointed]

avval-avval kii muhabbat ke nashe yaad to kar
bepiye bhii teraa cheharaa thaa gulistaa.N jaanaa.N

[avval-avval=the very first]

aaKhir aaKhir to ye aalam hai ki ab hosh nahii.n
rag-e-miinaa sulag uThii ki rag-e-jaa.N jaanaa.N

[rag=veins; miinaa=wine-holder; jaa.N=life]

muddato.n se ye aalam na tavaqqo na ummiid
dil pukaare hii chalaa jaataa hai jaanaa.N jaanaa.N

[muddat=awhile; tavaqqo=hope]

ham bhii kyaa saadaa the ham ne bhii samajh rakhaa thaa
Gam-e-dauraa.N se judaa hai Gam-e-jaanaa.N jaanaa.N

[Gam-e-dauraa.N=sorrows of the world]

ab kii kuchh aisii sajii mahafil-e-yaaraa.N jaanaa.N
sar-ba-zaanuu hai ko_ii sar-ba-girebaa.N jaanaa.N

[sar-ba-zaanuu=forehead touching the knees]
[sar-ba-girebaa.N=lost in worries]

har ko_ii apanii hii aavaaz se kaa.Np uThataa hai
har ko_ii apane hii saaye se hiraasaa.N jaanaa.N

[hiraasaa.N=scared of]

jis ko dekho vahii zanjiir-ba-paa lagataa hai
shahar kaa shahar huaa daaKhil-e-zindaa.N jaanaa.N

[zanjiir-ba-paa=feet encased in chains; zindaa.N=prison]

ab teraa zikr bhii shaayad hii Gazal me.n aaye
aur se aur huaa dard kaa unvaa.N jaanaa.N

[unvaa.N=start of chapter/title]

ham ki ruuThii hu_ii rut ko bhii manaa lete the
ham ne dekhaa hii na thaa mausam-e-hijraa.N jaanaa.N

[mausam-e-hijraa.N=season of separation]

hosh aayaa to sabhii Khvaab the rezaa-rezaa
jaise u.Date huye auraaq-e-pareshaa.N jaanaa.N

[rezaa-rezaa=piece by piece; auraaq-e-pareshaa.N=strewn pages of a book]
 
ab kis kaa jashn manaate ho us des kaa jo taqsiim huaa
Ahmed Faraz


ab kis kaa jashn manaate ho us des kaa jo taqsiim huaa
ab kis ke giit sunaate ho us tan-man kaa jo do-niim huaa

[taqsiim=divided; do-niim=cut in two]

us Khvaab kaa jo rezaa rezaa un aa.Nkho.n kii taqadiir huaa
us naam kaa jo Tuka.Daa Tuka.Daa galiyo.n me.n be-tauqiir huaa

[rezaa-rezaa=pieces; be-tauqiir=disrespect]

us parcham kaa jis kii hurmat baazaaro.n me.n niilaam hu_ii
us miTTii kaa jis kii hurmat mansuub uduu ke naam hu_ii

[parcham=flag; hurmat=respect/honour; niilaam=auction]
[mansuub=nominated/appointed; uduu=enemy]

us jang ko jo tum haar chuke us rasm kaa jo jaarii bhii nahii.n
us zaKhm kaa jo siine pe na thaa us jaan kaa jo vaarii bhii nahii.n

[jang=war; vaaranaa=to offer in sacrifice]

us Khuun kaa jo bad_qismat thaa raaho.n me.n bahaayaa tan me.n rahaa
us phuul kaa jo beqiimat thaa aa.Ngan me.n khilaa yaa ban me.n rahaa

[ban=jungle]

us mashriq kaa jis ko tum ne neze kii anii marham samajhaa
us maGarib kaa jis ko tum ne jitana bhii luuTaa kam samajhaa

[mashriq=east; nezaa=spear; anii=spear's point]
[marham=salve/ointment; maGarib=west]

un maasuumo.n kaa jin ke lahuu se tum ne farozaa.N raate.n kii.n
yaa un mazaluumo.n kaa jis se Khanjar kii zubaa.N me.n baate.n kii.n

[farozaa.N=illuminate; mazaluum=oppressed]

us mariyam kaa jis kii iffat luTatii hai bhare baazaaro.n me.n
us iisaa kaa jo qaatil hai aur shaamil hai Gam_Khvaaro.n me.n

[iffat=chastity]

in nauhaagaro.n kaa jin ne hame.n Khud qatl kiyaa Khud rote hai.n
aise bhii kahii.n dam_saaz hue aise jallaad bhii hote hai.n

[nauhaagar=mourner; dam_saaz=supporting; jallaad=executioner (cruel)]

un bhuuke nange Dhaa.Ncho.n kaa jo raqs sar-e-baazaar kare.n
yaa un zaalim qazzaaqo.n kaa jo bhes badal kar vaar kare.n

[Dhaa.Nchaa=skeleton; raqs=dance; qazzaaq=dacoit]

yaa un JhuuTe iqaraaro.n kaa jo aaj talak aifaa na hue
yaa un bebas laachaaro.n kaa jo aur bhii dukh kaa nishaanaa hue

[aifaa=to fulfill]

is shaahii kaa jo dast-ba-dast aa_ii hai tumhaare hisse me.n
kyo.n nang-e-vatan kii baat karo kyaa rakhaa hai is qisse me.n

[shaahii=royal]

aa.Nkho.n me.n chhupaaye ashko.n ko ho.nTho.n me.n vafaa ke bol liye
is jashn me.n bhii shaamil huu.N nauho.n se bharaa kashkol liye

[nauhaa=lamentation; kashkol=beggar's bowl]

---------- Post added at 05:17 AM ---------- Previous post was at 05:16 AM ----------

ab naye saal kii mohalat nahii.n milane vaalii
Ahmed Faraz

ab naye saal kii mohalat nahii.n milane vaalii
aa chuke ab to shab-o-roz azaabo.n vaale

[mohalat=time; shab-o-roz=night and day; azaab=pain/misfortune]

ab to sab dashnaa-o-Khanjar kii zubaa.N bolate hai.n
ab kahaa.N log muhabbat ke nisaabo.n vaale

[dashnaa=dagger]

zindaa rahane kii tamannaa ho to ho jaate hai.n
faaKhtaao.n ke bhii kirdaar uqaabo.n vaale

na mere zaKhm khile hai.n na teraa rang-e-hinaa
mausam aaye hii nahii.n ab ke gulaabo.n vaale

---------- Post added at 05:17 AM ---------- Previous post was at 05:17 AM ----------

aise chup hai.n ke ye manzil bhii ka.Dii ho jaise
Ahmed Faraz


aise chup hai.n ke ye manzil bhii ka.Dii ho jaise
teraa milanaa bhii judaa_ii ki gha.Dii ho jaise

apane hii saaye se har gaam laraz jaataa huu.N
raaste me.n ko_ii diivaar kha.Dii ho jaise

manzile.n duur bhii hai.n manzile.n nazadiik bhii hai.n
apane hii paao.n me.n zanjiir pa.Dii ho jaise

kitane naadaan hai.n tere bhulane vaale ke tujhe
yaad karane ke liye umr pa.Dii ho jaise

aaj dil khol ke roye hai.n to yuu.N Khush hai 'Faraz'
chand lamho.n kii ye raahat bhii ba.Dii ho jaise
 
badan me.n aag sii cheharaa gulaab jaisaaa hai
Ahmed Faraz


badan me.n aag sii cheharaa gulaab jaisaaa hai
ke zahar-e-Gam kaa nashaa bhii sharaab jaisaa hai

kahaa.N vo qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhii Khvaab jaisaa hai

magar kabhii ko_ii dekhe ko_ii pa.Dhe to sahii
dil aa_iinaa hai to cheharaa kitaab jaisaa hai

vo saamane hai magar tishnagii nahii.n jaatii
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisaa hai

[tishnagii=thirst, saraab=illusion/mirage ]

'Faraz' sang-e-malaamat se zaKhm zaKhm sahii
hame.n aziiz hai Khaanaa_Kharaab jaisaa hai
 
baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa
Ahmed Faraz


baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa
ab zahan me.n nahii.n hai par naam thaa bhalaa saa

abaruu khi.nche khi.nche se aa.Nkhe.n jhukii jhukii sii
baate.n rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa

alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar me.n
ban jaaye jangalo.n me.n jis tarah raastaa saa

Khvaabo.n me.n Khvaab us ke yaado.n me.n yaad us kii
niindo.n me.n ghul gayaa ho jaise ke ***_jagaa saa

pahale bhii log aaye kitane hii zindagii me.n
vo har tarah se lekin auro.n se thaa judaa saa

agalii muhabbato.n ne vo naa_muraadiyaa.N dii.n
taazaa rafaaqato.n se dil thaa Daraa Daraa saa

kuchh ye ke muddato.n se ham bhii nahii.n the roye
kuchh zahar me.n bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa

phir yuu.N huaa ke saavan aa.Nkho.n me.n aa base the
phir yuu.N huaa ke jaise dil bhii thaa aabalaa saa

ab sach kahe.n to yaaro ham ko Khabar nahii.n thii
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqi_aa zaraa saa

tevar the beruKhii ke andaaz dostii ke
vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
naahaq thaa zo.Num ham ko jab vo nahii.n thaa pyaasaa

ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
apanaa bhii haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa

---------- Post added at 05:40 AM ---------- Previous post was at 05:39 AM ----------

beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
Ahmed Faraz


beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
tum bhii auro.n kii tarah mujh se judaa ho jaanaa

mai.n bhii palako.n pe sajaa luu.Ngaa lahuu kii buu.Nde.n
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa

Khalq kii sang_zanii merii Khataao.n kaa silaa
tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa

ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa
 
self delete - taste badal gaya hai :D
 
chhe.De mai.n ne kabhii lab-o-ruKhsaar ke qisse
Ahmed Faraz

chhe.De mai.n ne kabhii lab-o-ruKhsaar ke qisse
gahe gul-o-bul_bul kii hikaayat ko nikhaaraa
gahe kisii shahazaade ke afsaane sunaaye
gahe kyaa duniyaa-e-paristaa.N kaa nazaaraa
mai.n khoyaa rahaa jin-o-malaik ke jahaa.N me.n
har lahajaa agarche mujhe aadam ne pukaaraa

baraso.n yuu.N hii dil_jamii-e-aurang kii Khaatir
sau phuul khilaaye kabhii sau zaKhm Khariide
mai.n likhataa rahaa hijv baGaavat manshuu.n kii
mai.n pa.Dhataa rahaa qasr_nashiino.n ke qasiide
ubharaa bhii agar dil me.n ko_ii jazabaa-e-sar_kash
is Khauf se chup thaa ke ko_ii ho.nTh na sii de

lekin ye tilismaat bhii taa der na rah paaye
aaKhir mai-o-miinaa-o-Daf-o-chang bhii TuutTe
yuu.N dast-o-garebaa.N huaa insaan-o-Khudaaband
nakhachiir to ta.Dape qafas-e-rang bhii TuuTe
is kashmakash-e-zarraa-o-anjum kii fizaa me.n
kash_kol to kyaa afsar-o-aurang bhii TuuTe

mai.n dekh rahaa thaa mere yaaro.n ne ba.Dhakar
qaatil ko pukaaraa kabhii maqtal ko sadaa dii
gahe rasn-o-daar ke aaGosh me.n jhuule
gahe haram-o-dair kii buniyaad hilaa dii
jis aag se bhar_puur thaa maahaul kaa siinaa
vo aag mere lauh-o-qalam ko bhii pilaa dii

aur aaj shikastaa huaa har tauq-e-talaa_ii
ab fan meraa darbaar kii jagiir nahii.n hai
ab meraa hunar hai mere jamahuur kii daulat
ab meraa junuu.N kaif-e-taaziir nahii.n hai
ab dil pe jo guzaregii be-Tok kahuu.Ngaa
ab mere qalam mai.n ko_ii zanjiir nahii.n hai
 
dil bhii bujhaa ho shaam kii parachhaa_iyaa.N bhii ho.n
Ahmed Faraz


dil bhii bujhaa ho shaam kii parachhaa_iyaa.N bhii ho.n
mar jaa_iye jo aise me.n tanhaa_iyaa.N bhii ho.n

aa.Nkho.n kii surKh lahar hai mauj-e-suparadagii
ye kyaa zaruur hai ke ab anga.Daa_iyaa.N bhii ho.n

har husn-e-saadaa lau na dil me.n utar sakaa
kuchh to mizaaj-e-yaar me.n geharaa_iyaa.N bhii ho.n

duniyaa ke tazakire to tabiyat hii le bujhe
baat us kii ho to phir suKhan aaraa_iyaa.N bhii ho.n

pahale pahal kaa ishq abhii yaad hai 'Faraz'
dil Khud ye chaahataa hai ke rusvaa_iyaa.N bhii ho.n
 
wo mujay bhool behta hai nahee hoi hairat sun ka
wo apni aam si cheezon ko aksar bhool jata hai
 
Ghalib one of my favorite.


Koee Umeed Bar Nahin Aatee

Translated by Ayesha Kaljuvee

koee ummeed bar naheen aatee
No hope comes my way
koee soorat nazar naheen aatee
No visage shows itself to me

maut ka ek din mu'ayyan hai
That death will come one day is definite
neehd kyon raat bhar naheeh aatee?
Then why does sleep evade me all night?

aage aatee thee haal-e-dil pe hansee
I used to laugh at the state of my heart
ab kisee baat par naheen aatee
Now no one thing brings a smile

jaanta hoon sawaab-e-taa'at-o-zahad
Though I know the reward of religious devotion
par tabeeyat idhar naheen aatee
My attention does not settle in that direction

hai kuchch 'eisee hee baat jo chup hoon
It is for these reasons that I am quiet
warna kya baat kar naheen aatee?
If not, would I not converse with you?

kyon na cheekhoon ki yaad karate hain
Why should I not remember you?
meree aawaaz gar naheen aatee
Even if you cannot hear my lament

daagh-e-dil gar nazar naheen aata
You don’t see the anguish in my heart
boo bhee 'ei chaaraagar ! naheen aatee
O healer, the scent of my pain eludes you

ham wahaan hain jahaan se hamko bhee
I am now at that point
kuchch hamaaree khabar naheen aatee
That even I don’t know myself

marte hain aarzoo mein marne ki
I die in the hope of dying
maut aatee hai par naheen aatee
Death arrives and then never arrives

kaaba'a kis munh se jaaoge 'Ghalib'
How will you face Mecca, Ghalib
sharm tumko magar naheen aatee
When shame doesn’t come to you



Koi Umeed Bar Nahi Aati -Atribute to Ghalib by Lata Mangeshkar

 
Last edited by a moderator:
Dasht-e-Tanhai

By Faiz Ahmed Faiz
Translated by Ayesha Kaljuvee

dasht-e-tanhaai mein, ai jaan-e-jahaan, larzaan hain
In the desert of my solitude, oh love of my life, quiver
teri avaaz ke saaye,
the shadows of your voice,
tere honthon ke saraab
the mirage of your lips

dasht-e-tanhaai mein,
In the desert of my solitude,
duri ke khas-o-khaak tale
beneath the dust and ashes of distance
khil rahe hain tere pehlu ke saman aur gulaab
bloom the jasmines and roses of your proximity

uth rahi hai kahin qurbat se
From somewhere very close,
teri saans ki aanch
rises the warmth of your breath
apani khushbuu mein sulagti hui
smouldering in its own aroma,
maddham maddham
slowly, bit by bit.

dur ufaq par chamakati hui
far away, across the horizon, glistens
qatra qatra
drop by drop
gir rahi hai teri dil daar nazar ki shabnam
the falling dew of your beguiling glance

is qadar pyaar se hai jaan-e jahaan rakkhaa hai
With such tenderness, O love of my life,
dil ke rukhsaar pe
on the cheek of my heart,
is vaqt teri yaad ne haath
has your memory placed its hand right now

yun guman hota hai
that it looks as if
garche hai abhi subah-e-firaaq
(though it's still the dawn of adieu)
dhal gaya hijr ka din
the sun of separation has set
aa bhi gaye vasl ki raat
and the night of union has arrived.

Dasht e tanhai - Tina Sani

 
Last edited by a moderator:
sung by Ali sher.

Shaam ke Surmai andheron mein

Shaam ke Surmai andheron mein
Youn mere Dil ke Daag jalte hein
Jeise parbat ke sabz peirhon par
Barf ke bad dhoop parhti he
Jeise sehra ki reit urh urh kar
Ajnabi ka tawaf karti he

Anhein Bharta hoon ashq peeta hoon
Roz marta hoon phir bhi jeeta hoon
Teri Yaadon ki Tishnagi ab to
Youn mere dil ko chu jaati he
Jeise ik taaza Qabar par bewah
Marne wale ka naam leti he

Door reh kar bhi jo dil mein rehta he
Wo sitamgar bhi ghair kehta he
kiti masoom arzoon ko
Dunia wale torh jaate hein
Jeise dam torhte musafir ko
Kafile wale chorh jaate hein....





---------- Post added at 07:54 PM ---------- Previous post was at 07:53 PM ----------

JAGJIT SINGH SINGS GHALIB

A tribute to Ghalib concert by Jagjit Singh "Yeh na thi hamari qismat"



---------- Post added at 07:55 PM ---------- Previous post was at 07:54 PM ----------

Mujh Se Pehli Si Mohabbat

By Faiz Ahmed Faiz
Translated by Ayesha Kaljuvee

mujh se pehli si mohabbat meray mehbub na maang
Don't ask me for the love I once gave you, my love

mein ne samjha tha kay tu hai to darakhshaan hai hayaat
I had thought if I had you, life would shine eternally on me
tera gham hai to gham-e-dahar ka jhagdra kya hai
If I had your sorrows, those of the universe would mean nothing
teri surat se hai aalam mein bahaaron ko sabaat
Your face would bring permanence to every spring
teri aankhon ke sivaa duniya mein rakkha kya hai
What is there but your eyes to see in the world anyway

tu jo mil jaaye to taqdir niguun ho jaaye
If I found you, my fate would bow down to me

yun na tha mein ne faqat chahaa tha yun ho jaaye
This was not how it was, it was merely how I wished it to be
aur bhii dukh hain zamaane mein mohabbat ke sivaa
There are other heartaches in the world than those of love
raahaten aur bhi vasl ki raahat ke sivaa
There is happiness other than the joy of union
anaginat sadiyon ki taarik bahimanaa talism
The dreadful magic of uncountable dark years
resham-o-atalas-o-kamkhvaab mein bunavaaye huye
Woven in silk, satin and brocade
jaa-ba-jaa bikate huye kuuchaa-o-baazaar mein jism
In every corner are bodies sold in the market
khaak mein lithade huye khuun mein nahalaaye huye
Covered in dust, bathed in blood

jism nikale huye amaraaz ke tannuuron se
Bodies retrieved from the cauldrons of disease
piip bahatii hu_ii galate huye naasuuron se
Discharge flowing from their rotten ulcers
laut jaati hai udhar ko bhi nazar kyaa kije
Still returns my gaze in that direction, what can be done
ab bhi dilkash hai tera husn magar kya kije
Even now your beauty is tantalizing, but what can be done

aur bhii dukh hain zamaane mein mohabbat ke sivaa
There are other heartaches in the world than those of love
raahaten aur bhi vasl ki raahat ke sivaa
There is happiness other than the joy of union
mujh se pehli si mohabbat meray mehbub na maang
Don't ask me for the love I once gave you, my love

noorjehan siniging faiz ahmad faiz
mujh se pehlii sii mohabbat mere mehbuub na maa.ng


 
Last edited by a moderator:
Tumhari aankh kehti hey hisaar-e-zaat se niklo
Allama Iqbal


Tumhari aankh kehti hey hisaar-e-zaat se niklo
Tamanna meri ban jao shab-e-barbaad se niklo

Sahara tham lo dil ka, bhula do har gila shikwa
kabhi sachi hansi hans do, purani yaad se niklo

Khayal-e-yaar acha hai, magar jis ne wafa na ki
Palat kar phir sada na do, dar-e-faryaad se niklo

Nahin tum ko gawara ab humara qurb to keh do
Hamarey karb ki Choro, tum is gardaab se niklo

Sar-e-maqtal jo jate ho, na ho darmaandagi kuch bhi
Jahan saaraa hu tham Jaaye, kuch is andaaz se niklo...


** Zaki once posted it@ ***
 
Sare Jahan se acha

Allama Iqbal

saare jahaan se achcha hindostaan hamaraa
hum bul bulain hai is kee, ye gulsitan hamaraa

parbat vo sabse unchaa hum saaya aasma kaa
vo santaree hamaraa, vo paasbaan hamaraa

godee mein khel tee hain is kee hazaaron nadiya
gulshan hai jinke dum se, rashke janna hamaraa

mazhab nahee sikhataa apas mein bayr rakhnaa
hindee hai hum, vatan hai hindostaan hamaraa

Translation in English :

Better than all the world, is our India
We are its nightingales and this is our garden

That mountain most high; neighbor to the skies
It is our sentinel; it is our protector

A thousand rivers play in its lap,
Gardens they sustain, the envy of the heavens is ours

Faith does not teach us to harbor grudges between us
We are all Indians and India is our homeland



---------- Post added at 08:00 PM ---------- Previous post was at 07:59 PM ----------

Bahar Aayee

By Faiz Ahmed Faiz
Translated by Ayesha Kaljuvee

Bahar aayee
Spring has come
to jaisey yak baar laut aaye hain phir adum se
So have returned suddenly from the past
woh khaab sarey, shabaab sarey
All those dreams, all that beauty
jo terey honton pe mar mittey they
That on your lips had died
jo mit ke har baar phir jiye they
That had died and lived again each time

nikher gaye hain gulaaab sarey
All the roses are blooming
jo teri yadon se mushkboo hain
That still smell of your memories
jo terey ushaak ka lahoo hain
That are the blood of my love for you
bahaar aayee
Spring has come

ubal parey hain azaab sarey
All the torments are raging again
malaal-e-ihbay-e-doastaan bhi
That unheeded advice of friends
tumharey aaghosh-e-mehvashaan bhi
That intoxication of your embrace

ghubar-e-khatir ke baab sarey
The dust of old chapters have opened
tirey humarey sawaal sarey, jawaab sarey
With all our questions, all our answers

bahaar aayee
Spring has come
to khul gaye hain
So have opened
neye sirrey se hisaab sarey
all the journals of my love anew
neye sirrey se hisaab sarey
all the journals of my love anew

bahaar aayee
Spring has come
bahaar aayee
Spring has come



Bahar Ayee,, Tina Sani sings this beautiful Nazm in Tribute to the Legend Faiz Ahmed Faiz




---------- Post added at 08:01 PM ---------- Previous post was at 08:00 PM ----------

Hum Dekhain Gay

By Faiz Ahmed Faiz
Translated by Ayesha Kaljuvee

Hum Dekhain Gay
We shall see
Lazim Hai ke hum Bhi Dekhain Gay
It is necessary that we shall also see
Woh Din ke Jis ka Wadah Hai
That day which has been promised
Jo Loh-e-Azl pe Likha hai
Which is written with God's ink
Hum Dekhain Gay
We shall see

Jab Zulm-o-Sitam ke Koh-e-garaan
When the mountains of cruelty and torture
Ruii ki Tarah Urd Jain Gay
Will fly like pieces of cotton
Hum Mehkumoon ke Paun Talay
Under the feet of the governed
Yeh Dharti Dhard Dhard Dhardkay gi
This earth will quake
Aur Ehl-e-Hukum ke Sar Uper
And over the head of the ruler
Jab Bijli kard Kard Kardke gi
When lightening will thunder
Hum Dekhain Gay
We shall see

Jab Arz-e-Khuda ke kabay se
When from God's Mecca
Sab but Uthwaaiy Jain gay
All the idols will be shattered
Hum Ehl-e-Safa Mardood-e-Haram
Us people standing in the mosque
Masnad pe Bithaaiy jain gay
Will be elevated to a higher platform
Sab Taaj Uchalay jain gay
All the crowns will be tossed
Sab Takht Giraaiy Jain gay
All the thrones will be toppled

Bas Naam rahay Ga Allah ka
Then only God's name will remain
Jo Ghayab Bhi hai Hazir Bhi
Who is both absent and present
Jo nazir bhi hai manzar bhi
Who is both the observer and the view itself
Uthay ga Analhaq ka Naara
When the anthem of truth will be raised
Jo Main bhi Hun aur Tumbhi ho
Who I am and you are as well
Aur Raaj karay gi khalq-e-Khuda
And the people of God will reign
Jo main bhi hun aur tum bhi ho
Who I am and you are as well

Hum Dekhain Gay
We shall see
Lazim Hai ke hum Bhi Dekhain Gay
It is necessary that we shall also see
Hum Dekhain Gay
We shall see



Hum Dekhein gay, Lazim Hay kay Ham Bhi (sung by Iqbal Bano )

 
Last edited by a moderator:
Ye Na Thee Hamaree Qismat

By Mirza Ghalib
Translated by Ayesha Kaljuvee

ye na thee hamaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
it was not in my fate to meet my lover
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
had I lived longer, this would still be my only desire

tere waade par jiye ham to ye jaan jhoot jaanaa
to live on your promise is to make my life a lie
ke khushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota
would I not have died of happiness if i trusted it

teree naazukee se jaana ke bandha tha 'ehed_booda
from your frailty I learnt that the promise was delicate
kabhee too na tor sakta agar oostuwaar hota
it would not stand broken had you been determined

koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
someone ask me about your half-drawn arrow
ye khalish kahaan se hotee jo jigar ke paar hota
would i even feel this pain if it had pierced my heart

ye kahaan ki dostee hai ke bane hain dost naaseh
what kind of friendship is this, that friends are now advisers
koee chaarasaaz hota, koee ghamgusaar hota
someone should ease my pain, someone sympathize with me

rag-e-sang se tapakta wo lahoo ki phir na thamta
from every nerve drips blood without restraint
jise gham samajh rahe ho, ye agar sharaar hota
as if that which you think is anguish is but a spark

gham agarche jaan_gulis hai, per kahaan bachain ke dil hai
threatening as love is, there is no deliverance from the heart
gham-e-ishq gar na hota, gham-e-rozgaar hota
if not the torment of love, it would be the torment of life

kahoon kis se main ke kya hai, shab-e-gham buree bala hai
whom shall I narrate the pangs of these evenings of sorrow
mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota
i would have not resented this death, had it come only once

hue mar ke ham jo ruswa, hue kyon na gharq-e-dariya
that I died and was disgraced, why was I not just drowned
na kabhee janaaza uthata, na kaheen mazaar hota
never was there a funeral, no where was a tomb erected

usay kaun dekh sakta ke yagaana hai wo yaktaa
who can see him since his Oneness is without peer
jo dooee ki boo bhee hotee to kaheen do chaar hota
even the scent of his duality would be an introduction

ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaan 'Ghalib'!
this mysticism, these statements of yours Ghalib
tujhe ham walee samajhate, jo na baada_khwaar hota
you would be a saint, if only you were not inebriated



Ye Na Thee Hamari Kismat-Chitra Singh-Mirza Ghalib Drama


 
Last edited by a moderator:
Ishq Mujko Nahin

By Mirza Ghalib
Translated by Ayesha Kaljuvee

Ishq Mujhko Nahin, Vehshat Hi Sahi
If not love, then let it be madness
Meri Vehshat Teri Shohrat Hi Sahi
Even if my madness is your fame
Katta Keeje Na Taalluk Hamse
Don't sever these ties with me
Kutch Nahin Hai To Adavat Hi Sahi
Even if nothing but enmity remains

Mere Hone Mein Hai Kya Rusvayee
What is this displeasure in my presence
Ae Veh Majlis Nahin Khallat Hi Sahi
If not in company, meet me in isolation
Hum Bhi Dushman To Nahin Hain Apne
I am also not my own enemy
Gair Ko Tujhse Mohabbat Hi Sahi
Even if they think it was a stranger who loved you

Apni Hasti He Se Ho Jo Kutch Ho
I am where my life wants to be
Aagahi Gar Nahin Gaflat Hi Sahi
If this is not known, then let ignorance be
Umr Harchand Ki Hai Barke-Kharam
Life speeds forward like lightening
Dil Ke Khoon Ki Fursat Hi Sahi
Even as there is infinite time for loving

Hum Koyee Tarqe-Vafa Karte Hain
Do I debate the value of loyalty?
Na Sahi Ishq Museebat Hi Sahi
If not love, then let the torment be
Kutch To De Ae Falke-Na-Insaaf
Give me something, unjust one
Aaho Fariyad Ki Rukhsat Hi Sahi
Present me the right to plea

Hum Bhi Tasleem Ki Khoo Dalenge
I will also perpetuate this ceremony
Benayazi Teri Aadat Hi Sahi
Even if cruelty is your habit
Yaar Se Chedh Chali Jaye 'Asad'
The playfulness will end eventually
Gar Nahin Vasl To Hasrat Hi Sahi
If union is impossible, then let the desire be



Mirza Ghalib - Ishq Mujhko Nahin Vehashat Hi Sahi


---------- Post added at 08:04 PM ---------- Previous post was at 08:03 PM ----------

Aa Ke Meri Jaan Mein

By Mirza Ghalib
Translated by Ayesha Kaljuvee

aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai
Come that my soul has no repose
taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahin hai
Has no strength to bear the injustice of waiting

dete hain jannat hayaat-e-dahar ke badale
Heaven is given in return for the life of this world
nashshaa baa_andaazaa-e-khumaar nahin hai
But that high is not in proportion to this intoxication

giriyaa nikaale hai teri bazm se mujh ko
Such longing has come from your company
haaye! ki rone pe ikhtiyaar nahin hai
That there is no control over my tears

ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir
Suspecting torment, you are indifferent to me
khaak mein ushshaq ke gubaar nahin hai
So no love resides in these clouds of dust

dil se uthaa lutf-e-jalvaa haye ma_ani
From my heart has lifted the meaning of pleasure
gair-e-gul aaiinaa-e-bahaar nahin hai
Without blossoms, there is no spring in life

qatl kaa mere kiyaa hai ahad to baare
You have pledged to kill me at last
vaaye! agar ahad ustavaar nahin hai
But there is no determination in your promise

tu ne qasam maikashi ki khaai hai 'Ghalib'
You have sworn by the wine, Ghalib
teri qasam ka kuchh aitabaar nahin hai
There is no faith in your avowal
 
Last edited by a moderator:

Country Latest Posts

Back
Top Bottom