What's new

Sher-o-Shairy

Sehra ko bohat naaz hai apni veerani per ......

Shahyad uss ne meri tanhai ko nahi dekha ......!
 
itni aachi shayariya likhte ho aap....mera facebook status :lol: waise hamare yaha mehfiloin mein log aisa kehte hai...kkambaqt maar hi daala

sir may likhti nhi hn han achi poetry parh kr share zaror krti hn :angel:
 
Maana Ke Main Ghareeb Hoon, Ye Baat Sach To Hai, Lekin...
Tu Agar Apna Bana Le Mujh Ko To Tera Har Gham Khareed Sakta Hoon.

Kiyyyyyyyyyyyyyyyyyyyyaaaaaaaaa
kehnay janab kiya kehnay
 
Dil Mein Ab Dard-E-Mohabbat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,
Zindagi Meri Ibaadat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,

Main Teri Barah-E-Gah- E-Naaz Mein Kya Pesh Karun,
Meri Jholi Mein Mohabbat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,

Aye Khuda Mujhse Na Le Mere Gunahon Ka Hisaab,
Mere Paas Khoon Bhare AshQon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,

Wo To Mit Kar Mujhko Mil Hi Gayi Raahat Warna,
Zindagi Ranj-O-Musibat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi...
 
Kon kehta hai Nafraton main Dard hai Mohsin….
Kuch Muhabbatain bhi bari Azziyat nak hoti hain!!!
 
Ae meray hum-nasheen chal kahin aur chal
Iss chaman main ab apnaa guzaara nahi.
Baat hoti phoolou tak to seh laitay hum
Ab to kaantou pe bhi haq hamaara nahi



Gulistan ko lahoo ki zaroorat pari
Sab se pehlay hi gardan hamaari kati.
Phir bhi kehtay hain hum se yeh ehl-e-chaman
Yeh chaman hai hamaara tumhaara nahi.

Zaalimon! Apni qismat pe nazaan na ho
Daur badlay gaa yeh waqt ki baat hai.
Wo yaqeenan sunay gaa sadai meri
Kya tumhaara khuda hai hamaara nahi?
 
Di sada dar par to kabhi toor par
Kis jaga mein nay tum ko pukaara nahi?
Thokaray yoon khilaanay se kya faida?
Saaf keh do kay milnaa gawaara nahi.

Aaj aaye ho tum kal chalay jao gay
Ye mohabbat ko apni gawaara nahi.
Umar bhar ka sahaara bano to bano
Do ghari ka sahaara sahaara nahi.


 
kitni raatay beet gaye
kitney din beet gaye
bus beeta nahi to yaadou ka wo pal
wo guzraa hova kal
beeti nahi tu aankhou ki nami
aur aap ki kami
 
Hamare rastey mein kaee jahan aate hein
Hamari koshish ka maidan kabhi khatam nahin ho sakta
Musafir e rah e ishq! bar bar fana ho or har bar naee zindagi pa
Jo jahan teray samne aey, usse apne qabzeh mein kar le
Allah ta’ala ke behar mein gum ho jana hamara anjam nahin
Agar tu usse apna le, to phir teray liey fana nahin
Khudi ka khudi mein sama jana mahaal he
Khudi ka apna aap ban’na hi uss ka kamal he


( IQBAL BHAI)
 

Latest posts

Back
Top Bottom