What's new

Sher-o-Shairy

Mutee

FULL MEMBER
Joined
Dec 22, 2010
Messages
635
Reaction score
0
kindly share your fav shers and ghazals here give the poet name too I will add one sher everyday if they let this thread continue Ok hers my sher for today by mohsin naqvi " meri hathon ki lakeroon may ya aaib hai mohsin " " ma jiss shuks ko choo loon woo mera nazi rehta"
 
29887_1397603412342_999931200_31118658_4749584_n.jpg
 
Kabhi Kabhi by Sahir Ludhianvi


Kabhi Kabhi mere dil mein khayaal aataa hai
Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaaon mein
Guzarne paati to shaadaab ho bhi sakti thi
Yeh tiraagi jo mere zist ka muqaddar hai
Teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi

Ajab na thaa ki main begana-e-alam reh kara
Tere jamaal ki ranaiyon mein kho rehta
Tera gudhdaaz badan, teri nimabaz aankhen
Inhin hasin fasano mein main ho rehta

Pukaratin mujhe jab talkhiyan zamane ki
Tere labon se halavat ke ghunt pe leta
Hayaat chikhti phirti barehana-sar aur main
Ghaneri zulfon ke saaye mein chhup ke ji leta

Magar ye ho na saka
Magar ye ho na saka aur ab ye aalam hai
Ki tu nahin, tera gham teri justaju bhi nahin
Guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise
Ise kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin

Zamane bhar ke dukhon ko lagaa chuka hun gale
Guzar raha hun kuch anjaani rahguzaron se
Muhib saaye meri simt badte aate hain
Hayaat-o-maut ke par-haal khaar-zaaron se

Na koi jaada, na manzil na roshani ka suraag
Bhatak rahi hai khalaon mein zindagi meri
Inhi khalaon mein reh jaaunga kabhi kho kar
Main jaanta hun meri ham-nafas, magar yun hii
Kabhi Kabhi mere dil mein khayal aata hai...

http://www.urdumaza.com/images/poetry/poetry/2955.gif


Glossary:

shaadaab = pleasant, agreeable
teeragi = darkness
zeest = life
shu’aaoN = light, rays, brightness
begaana-e-alam = stranger to the world
jamaal = beauty
ra’anaayioN = elegance
gudaaz = gentle, tender
neembaaz = half open
mahv = drowned
talKhiyaaN = bitterness
halaavat = sweetness
hayaat = life
barhanaa = naked
muheeb = dreadful
samt = towards
hayaat-o-maut = life and death
purhaul = full of deceit, might
KhaarzaaroN = a place full of thorns
jaada = road
KhalaaoN = darkness
hamnafas = companion

 
Last edited by a moderator:
Duniya by Sahir Ludhianvi
yeh mehloon,yeh takhtoon,yeh taajoon ki duniya,
yeh insaan key dushman samaajoon ki duniya,
yeh doolat key bhookey riwajoon ki duniya,
yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai.

har eik jism ghayal,har eik rooh piyaasi,
nigahoon mein uljhan,diloon mein udaasi,
yeh duniya hai ya aalam-e-badhawasi,
yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai.

yahaan eik khiloona hai insaan ki hasti,
yeh basti hai murda parastoon ki basti,
yahaan tu jeevan sey hai maut sasti,
yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai.

jawaani bhatakti hai badkaar ban kar,
jawaan jism sajtey hein bazaar ban kar,
yahaan pyaar hota hai beopaar ban kar,
yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai.

yeh duniya jahaan aadmi kuch nahi hai,
wafa kuch nahi,doosti kuch nahi hai,
yahaan pyaar ki qadr hi kuch nahi hai,
yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai.

jala du isey,phoonk daloo yeh duniya.
meray saamney sey hata loo yeh duniya,
tumhari hai tum hi sanmbhaloo yeh duniya,
yeh duniya agar mil bhi jaye tu kya hai




English Translation

A world of palaces, thrones and crowns

Where Man becomes the foe of Man

Where greed of wealth rules the day

What if you win this world, what then?



Every being lies wounded, every soul athirst

Eyes glazed with worry, hearts heavy and depressed

What world is this, bewildered, distraught?

What if you win this world, so accursed?



A world where Man is but a throwaway toy

Teeming with corpses and skeletons

Where life is a struggle and death is cheap

So you win this world-what then?



Where youth roams around in aimless distraction

And bodies adorn themselves to be bought and sold

Where love is but a sordid transaction

So what if this world is in your hold?



A world where humaneness has no place

Where loyalty and friendship means little or naught

Where love is shorn of all nobility and grace

Winning this world , you don't win a lot.



So burn it to ashes, blow it all up

Push it aside , far away from my sight

Let me withdraw, it is all yours to keep

For a world like this, I will not fight.



This poem's verses are badly twisted in the Indian film Gulaal

 
Last edited by a moderator:
wo jis ki khatir sari hadayn tour dien faraz
aj os nay keh dia had main raha karo
 
bhalay dino ki baat hai
bhali si aik shakal thi

na yeh kay husn i taam ho
na daikhnay main aam si

na yeh k wo chalay tou kehkeshan si rah guzar lagay
magar jab wo sath ho bhala bhala safar lagay

na aisy khush labasian k sadgy gila karay
na aisy be takalafi k aina hya karay

koi b rot os ki chup faza ka rang roop thi
wo garmiyoun ki chaon thi wo sardion ki dhoop thi

na aisy khush labasian k sadgy gila karay
na aisy betakalafi k aina hya karay

20108029.a5dc0a.jpg
 
so aik rooz kia hoa wafa pay behas cher gai
mein eshq ka aseer tha wo mery zid say cher gai

na os ko mujh pay maan tha
na muj ko os pay zahm he

so apna apna rasta hansi khushi badal gya
wo apni rah chal pari main apni rah chal dia

so bhali si aik shakal thi bhali si os ki dosti
ab os ki yad rat din nahee magar kabi kabi
 
heres my GHAZAL FOR YOU GUYS ITS AGAIN MY MOHSIN NAQVI


mein nay iss taur se chaha tujhe aksar jana
jaisay mahtab ko be-ant samander chahay
jaisay sooraj ki kiran seep ke dil mai utray
jaisay khushbu ko hawa, rung se hut ker chahay
jaisay pathhar ke kalaijay se kiran phoot-ti hai
jaisay ghunchay khulay mausam se hina mangtay hein
jaisay khaaboan mai khayaloan ki kamaan toot-ti hai
jaisay barish ki dua aabla-pa mangtay hein
mera har khaab meray such ki gawahi de ga
wus’at-e-deed ne tujh se teri khaahish ki hai
meri sochoan mai kabhi dekh sarapa apna!
mai ne duniya se alag teri parastish ki hai
khaahis-e-deed ka mausam kabhi dhundla jo hua
noach daali hain zamanay ki naqabain mai ne
teri palkoan pay utarti hui subhoan k liye
toar daali hain sitaroan ki tanabain main ne
mai nay chaha keh teray husn ki gulnaar fiza
meri ghazlon ki qataron se mehekti jaey
mai ne chaha keh meray fun ke gulistaan ki bahaar
teri aankhoan ke gulaboan se mehekti jaye
tai to yeh tha keh sajata rahay lafzoan ke kanwal
meray khamosh khayaloan mai takallum tera
raqs kerta rahay, bharta rahay, khushbu ka khumaar
meri khaahish ke jazeeroan mein takallum tera
tu magar ajnabi mahol ki parwardah kiran
meri bujhti hoi ratoan ko sahar ker na saki
teri sansoan mai maseehai to thee laikin tu bhee
chara-e-zakhm-e-gham-e-deeda-e-tarr, ker na saki
tujh ko maloom hi kab hai keh kisi dard ka daagh
aankh se dil mein utar jaey to kya hota hai???
tu keh seemab tabiyat hai tujhe kya maloom
mausam-e-hijr theher jaey to kya hota hai
tu nay uss moar pay tora hai ta’alluq keh jahan
dekh sakta nahin koi bhee palat ker janaan
abb yeh aalam hai keh ankhain jo khulain gee apni
yaad aey ga teri deed ka manzar janaan
mujh se maangay ga teray ehd-e-mohobbat ka hisaab
teray hijraan ka dehekta hua mehshar janaan
yoon meray dil ke barabar tera gham aya hai
jaisay sheeshay ke maqabil koi pathhar janaan!!!
jaisay mahtaab ko be-ant samander chahay
mai ne iss taur se chaha tujhay aksar jana
Mohsin naqvi
 
sher for today

ZARA UNKI SHOKI TO DEKHIYA LEYI ZULFAY KHUM SHUDA HATH MAY
MERI PASS AA KAY DUBAY DUBAY MUJHI SANP KEH KAY DARA DIA!!!
(bahadar shah zafar)
 
Hum jahan kahein bhi hon bana letey hein jaga apney liye
Hum ko ata he hunar dil mein utar janey ka


Ye kis ne hum se laho ka kharaj phir manga he
Abhi to soye the maqtal ko surkhru kar ke


Khud hi dost ban kar bante hein dushman ye log
Warna az khud hamein koi zoqe shanasai na tha


Hun khud tarashtey hein manazil ki sange rah
Hum wo nahein hein jin ko zamana bana gya



Kal shaam thake harey prindon ne naseehat ki mughe
Shaam dhal jaye to mohsin tum bhi ghar jaya karo
 
Last edited:

Latest posts

Back
Top Bottom