Farah Sohail
SENIOR MEMBER
- Joined
- Mar 2, 2012
- Messages
- 7,228
- Reaction score
- 4
- Country
- Location
In shaa Allah woh zaroor hongay.. NAB chairman ki tou aisi bajegi.. SJC main..
Hona tu chahye Justice Khosa ko.lbecause he is a member of SJC.., kisi case ke liye uss main change nahi hona chahye.. Lekin shayad dunya newspaper main parha tha ke shayad woh 2 judges panama case walay..is SJC main na hon..
Lekin ye baat mujhe theek nahi lagti..
Ek tu yeh hai ke agar aisa possible hota ke SJC main Justice Khosa ..NAB chaitman ke against case main na bethtay tu Justice Khosa khud chairman NAB ke against reference bhej detay SJC main.. Unhon ne khud ye case is liye SJC main nahi bheja..kiun ke unhon ne apnay verdict main likha tha ke hum khud us SJC ka part hai.ltu acha nahi lagta ke khud hi wahan case bhej dein
Is se tu lagta hai ke Justice Khosa ko part hona hi hoga SJC ka....jaisy woh aur cases main hain,l
Lekin mujhe darr is kiye lag raha hai ke..he is not in Pakistan.. Woh 29th April tak tu cases sunn rahay thay.. I think 3rd ya 4th may ko jab JIT members finalise huay hain..us din geo ke ek journalist Zahid giskhori ne tweet kiya tha ke..aaj jab JIT finalise hui hai, Justice Khosa is not in Pakistan.. Uss din ke baad se main dekh rahi hun.. Aaj tak.. Abhi bhi amin yehi check,, karrahi thee..ke next week ke liye bhi Justice Khosa ke koi cases nahi lagay huay... Lagta hai ke woh shayad wapis na aaye hon abhi tak? Waisy tu 16th tak aajana chahye.. Woh is soorat main hoga, agar woh SJC main bethein ge...aur mera khyal hai ke bethna chahye....warna ...woh khud apni verdict main SJC main NAB chairman ke against reference bhej detay agar yeh possible hota ke woh na bethein .. So hopefully woh wapis aajayein