What's new

Panama leak Case Proceedings - JIT Report, News, Updates And Discussion

Status
Not open for further replies.
.
Justice has nothing to do with what goes on in a courtroom; Justice is what comes out of a courtroom.
JAAGHTE REHNA SAADHE TE NA REHNA,,,,,,,.... JEEE KHOSA JEE
Verdict is what comes out of courtroom
But if one agree with this verdict and its as per their wishes then they will call it Insaaf
If not then its beinsafi aur judges bik ghey :D
 
.
Kal ye banda buhat ruswa hua hai aik thread par.. yeh unn noon leagion main se hai jo sharmindgi ke maray apni leadership ka difaa nahi karsaktay, tou NS ko bhi gaalian nikalna shuru kardetay hain..

Aaj kal ke nooniay aap ko isi tarha milaingay.. iss shakhs pe kal kafi waqt barbaad kia tha

kyun @Verve bhai sahi keh raha hun main? Kal iss shakhs ki wajah se main senior member jaldi ban gaya.. lollll

ab ye saray 'I'm neutral' bann ke chuptay nazar attay hain. becharay spiritually yateem jo honain walay hain.
 
.
panama.jpg

@PakSword is se tu lag raha hai ke next week aaraha hai faisla.. Justice Ijazul Ahsan ko bhi wapis bulaa liya... I hope ye sach ho
 
.
View attachment 383242

@PakSword is se tu lag raha hai ke next week aaraha hai faisla.. Justice Ijazul Ahsan ko bhi wapis bulaa liya... I hope ye sach ho

"Adalti Zaraye ka kehna hai ke judges ne faislay ko hatmi shakal de di hai", yehi tou main keh raha hun.. Hatmi shakal last week hi dedi thee. Pata nahi kis baat ka wait hai.. Faisla sunaney main koi 1-2 ghantay darkaar hotay hain.. iss ke liey itna drama karnay ki kia zaroorat hai ke falan falan judge ko bhi bula lia gaya hai and whatever...

Weekdays main faisla dena mushkil hai.. Agar weekdays main faisla de saktay hain tou maloom nahi last week Friday tak kyun wait karwaya...
 
Shayad faisla sunanay ke liye bulwaaya ho...ke sab judges mojood hon, aur phir faisla sunaayein? Lekin phir Justice Khosa ki us baat ka kia ho..jo unhon ne kaha tha ke tehreeri faisla aayega? Aap ko bhi yaad hai na..unhon ne tehreeri faislay ka kaha tha?

Ch Ghulam Hussain keh rahay thay ke mid next week... Main tu duaa karrahi hoon ke kal hi aajaye :( lekin asaar nah hain, kal aanay ke :( aap ko lagta hai ke friday tak h baat jayegi? :(
 
Mujhay tou Friday lag raha hai to be very honest.. Lekin itnay baray baray sahafi agar mid of the week ki baat kar rahay hain tou shayad kuchh tou sach hoga..

Dr. Shahid Masood kia kehtay hain is baray?

@biloo700 bhai aap bhi kuchh bataein..
 
Shahid Masood kuch khas nahi... Woh kal keh rahay thay ke logon ne Friday jo guzar gaya..us par satta lagaya hua tha ke fri ko aaraha hai faisla...lekin nahi aaya... Ab next week ka khyal hai.. Phir kehnay lagay ke main ne 2007 main emergency ki date 29th oct di thee..jab nahi lagi tu logon ne mujhe bhtt bura bhala kaha....lekin 3rd nov ko lag gayi thee, woh emergency...

Waisy pehle Shahid Masood ki aksar news theek hua karti thern... NRO ki need sab se pehle Shahid Masood ne di thee...phir emergency ki nees bhi di ther... Lagta hai ke pehle ziada pakki sources hua karti theen inki, ab standard girr gaya hai inka...

Waisy woh keh rahay thay ke PM house ke sources ka khyal hai ke 23rd March tak jayega... Ab Allah janay ke sach ya nai...
 
.
Woh kal keh rahay thay ke logon ne Friday jo guzar gaya..us par satta lagaya hua tha ke fri ko aaraha hai faisla...lekin nahi aaya...

lolll.. iss baat par bhi sattay lagnay lagay.. kabhi kabhi main sochta hun NS Allah ne sahi nazil kia hai Pakistani qaum pe.

Waisy pehle Shahid Masood ki aksar news theek hua karti thern... NRO ki need sab se pehle Shahid Masood ne di thee...phir emergency ki nees bhi di ther... Lagta hai ke pehle ziada pakki sources hua karti theen inki, ab standard girr gaya hai inka...

Yeh tou buhat pehlay ki baat hai.. Jab main ne hosh sambhala tha shayad tab ki baat kar rahi hain aap..

Waisy woh keh rahay thay ke PM house ke sources ka khyal hai ke 23rd March tak jayega...

Agar shahid masood ki source theek hai shareef khandaan main, (koi bawarchi waghaira pakra hua hai inhon nay), tou iss ka matlab PM already request bhijwa chuka hai SC ke uski thori izzat rakh li jaey..
 
.
(koi bawarchi waghaira pakra hua hai inhon nay), tou iss ka matlab PM already request bhijwa chuka hai SC ke uski thori izzat rakh li jaey..

@bold koi bawarchi waghera pakra hua hai, :lol::lol::lol:

Waisy satta tu har baat par hi lagta hai :( waqayi deserve tu hum in jaison ko hi karte hain, lekin ab bhtt sazaa paa li... Ab in se chutkaaray ka waqt aana chahye

Koi pakki source wala koi nahi hai, humaray pass? :( jo sahi bataa dey aur pakki khabar de dey ke kab aaraha hai faisla? :(
 
.
"Adalti Zaraye ka kehna hai ke judges ne faislay ko hatmi shakal de di hai", yehi tou main keh raha hun.. Hatmi shakal last week hi dedi thee. Pata nahi kis baat ka wait hai.. Faisla sunaney main koi 1-2 ghantay darkaar hotay hain.. iss ke liey itna drama karnay ki kia zaroorat hai ke falan falan judge ko bhi bula lia gaya hai and whatever...

Weekdays main faisla dena mushkil hai.. Agar weekdays main faisla de saktay hain tou maloom nahi last week Friday tak kyun wait karwaya...
Pata nahi kyn lakin mugha lagta ha fasla jaan bhuj ker delay kia ja raha ha or is ka pecha waja sirf aik nazar atti ha or woh ha apna lia zayda sa zayda murat lena. Remember jab model town incident hua phir dharna, tab be log kah raha tha kah army ka under both bachani pai jati ha or kisi be time kuch be ho sakta ha lakin under he under army foreign policy ka zayda sa zayda hisa apna under lena cha rahi thi or whoi us na kia baki agar logon ki jaana gain to gain kisi ko koi farak nahi para. Us ka neetja yeh nikala kah next time jab IK na dharna ki call di to government na phela sa zayda force ka istamaal kia. Aik province ka CM ko ana sa roka gaya. Logon ko baalon sa pakar ker gheesta gaya, us ki waja yahi thi ka army to phela he deal ker ka maximum power la chuki thi abb kis cheez per government ko rokhti?
Judges ka mamla be kuch aisa he nazar ahh raha ha. Judges na mera khail main do fasila likha hua hain, meaning if government gives in to their demands than fasla Nawaz mian ka haq main ahh jai ga werna dorsa fasla ahh jai ga jis sa PM disqualify be ho sakta ha. Is ka illawa mugha koi waja delay ki samaj nahi ahh rahi. Or phir yeh baat be to ha kah sub janta hain Nawaz apni ki hui kisi aik be baat ko sabat nahi ker saka, na money trail na he kuch or to agar judges na usa bachna ha to phir aisa ka opposition ungli na utta saka. Anyway the more delay there is the more i see it going in Nawaz favour.
 
Agar Justice Khosa ne bhi aisi koi deal ki, tu mera phir sab par se aitemaad uth jayega.. Phir lagay ga..ke is mulk main kabhi bhi...aur koi bhi insaf nahi de sakta..agar Justice Khosa jaisy log bhi insaf par deal karnay lagay...jo ke filhaal mujhe aisi umeed nahi hai... Lekin agar next week bhi faisla na aaya tu shayad main bhi aisa sochnay par majboor hojaun :(
 
. .

Biloo bhai bhi shahid masood ka prog dekh kar hopeful hojatay hain...lekin abhi tu shahid masood ne bhi koi news nahi di..date ki

Waisy suna hai ke aaj sham 5 bajay..maryam aurangzeb aur dg ispr pressconference karein ge.. Lagta hai ke dawn leaks report ka zikr higa aur tariq fatmi par malba giraya jayega ya phir kisi aur bureaucrat par.. Maryam aurangzeb ke saath dg ispr ki pressconference ka tu yehi matlab hai ke mukmuka hogaya hai, is par

Bol news reporter

.
Pata nahi kyn lakin mugha lagta ha fasla jaan bhuj ker delay kia ja raha ha or is ka pecha waja sirf aik nazar atti ha or woh ha apna lia zayda sa zayda murat lena. Remember jab model town incident hua phir dharna, tab be log kah raha tha kah army ka under both bachani pai jati ha or kisi be time kuch be ho sakta ha lakin under he under army foreign policy ka zayda sa zayda hisa apna under lena cha rahi thi or whoi us na kia baki agar logon ki jaana gain to gain kisi ko koi farak nahi para. Us ka neetja yeh nikala kah next time jab IK na dharna ki call di to government na phela sa zayda force ka istamaal kia. Aik province ka CM ko ana sa roka gaya. Logon ko baalon sa pakar ker gheesta gaya, us ki waja yahi thi ka army to phela he deal ker ka maximum power la chuki thi abb kis cheez per government ko rokhti?
Judges ka mamla be kuch aisa he nazar ahh raha ha. Judges na mera khail main do fasila likha hua hain, meaning if government gives in to their demands than fasla Nawaz mian ka haq main ahh jai ga werna dorsa fasla ahh jai ga jis sa PM disqualify be ho sakta ha. Is ka illawa mugha koi waja delay ki samaj nahi ahh rahi. Or phir yeh baat be to ha kah sub janta hain Nawaz apni ki hui kisi aik be baat ko sabat nahi ker saka, na money trail na he kuch or to agar judges na usa bachna ha to phir aisa ka opposition ungli na utta saka. Anyway the more delay there is the more i see it going in Nawaz favour.

Agar Justice Khosa ne bhi aisi koi deal ki, tu mera phir sab par se aitemaad uth jayega.. Phir lagay ga..ke is mulk main kabhi bhi...aur koi bhi insaf nahi de sakta..agar Justice Khosa jaisy log bhi insaf par deal karnay lagay...jo ke filhaal mujhe aisi umeed nahi hai... Lekin agar next week bhi faisla na aaya tu shayad main bhi aisa sochnay par majboor hojaun :(

Deal tou koi bhi nahi honay jarahi yeh tou main aap dono ko batadun.. Mujhay sirf faislay ke delay par aitraaz hai..

Kyun ke iss delay ke natijay main baboon leaders and unn ke gullu butt kafi nuqsaan pohncha rahay hain qaumi ittehaad ko.. Punjabi Pakhtoon kay maslay ko hawa de rahay hain buhat ziada..

Aur jo wajah hai delay ki woh sirf aik hai.. buzdili.. Agar aap ne kabhi shotgun use ki ho tou samajhnay main ziada aasani hogi.. Jab us ki awaaz sun kar first time aap apnay haath se khud chalanay ki koshish kartey hain tou kukch minute tak to himmat hi nahi hoti trigger dabaney ki. yehi kuch hamari bench ke saath bhi horaha hai..
 
.
Status
Not open for further replies.
Back
Top Bottom