What's new

21 Apr 2012 Our Great left us!

shining eyes

FULL MEMBER
Joined
Apr 2, 2010
Messages
835
Reaction score
0
Aj 21 April ka dil hai. Yeh wo din hai jis din wo Heera ham se juda ho gya jo sadiyon main bhi qomoun ko nahi milta.
Hazaroun sal nargis apni be-noori pe roti hai,
bari mushkil say hota hai chaman main deeda-war paida,

Un k seher tari karny walay kalam main se kuch moti paish karna chahun ga.

Hawas Me Kar Diya Tukre Tukre Nu-E-Insan Ko
Akhuwat Ka Byan Ho Ja, Mohabbat Ki Zuban Ho Ja​

Greed has split mankind into little pieces;
Become the statement of brotherhood, become the language of love.

Ye Hindi, Who Khurasani, Ye Afghani, Who Toorani
Tu Ae Sharminda-E-Sahil ! Uchal Kar Be-Karan Ho Ja

Here are Indians, there people of Khurasan, here Afghans, there Turanians—
You, who despise the shore, rise up and make yourself boundless.

Khudi Mein Doob Ja Ghafil ! Ye Sir-E-Zindagani Hai
Nikl Kar Halqa-E-Shaam-O-Sahar Se Javidan Ho Ja

Immerse yourself in your self, my forgetful one, this is the secret of life;
Come out from the fetters of evening and morning, become immortal.

Yaqeen Mohkam, Amal Peham, Mohabbat Faateh-E-Alam
Jahad-E-Zindagani Mein Hain Ye Mardon Ki Shamsheerain

Firm certainty, eternal action, the love that conquers the world
These are the swords of men in the holy war of life.


Nahin tera nasheman qasr-e-sultani k qumbad per,,,
Tu shaheen hai, basaira kar paharon ki chatanon per.,,,

537974_290193174395599_103024106445841_625771_1760220139_n.jpg


Khamosh ay dil bhari mehfil main chillana nahi acha,
Adab pehla qareena ha muhabbat k qareenu main,

Adab-pehla-qarena-ha-IQBAL.jpg
 
Sitaron Se Agay Jahan Aur Bhi Hain
Abhi Ishq Ke Imtihan Aur Bhi Hain

Other worlds exist beyond the stars—
More tests of love are still to come.

Tehi, Zindagi Se Nahin Ye Fazaen
Yahan Saikron Karwan Aur Bhi Hain​

This vast space does not lack life—
Hundreds of other caravans are here.

Qanaat Na Kar Alam-e-Rang-o-Bu Par
Chaman Aur Bhi Ashiyan Aur Bhi Hain​

Do not be content with the world of color and smell,
Other gardens there are, other nests, too.

Agar Kho Gya Ek Nasheeman To Kya Gham
Maqamat-e-Aah-o-Faghan Aur Bhi Hain​

What is the worry if one nest is lost?
There are other places to sigh and cry for!

Tu Shaheen Hai, Parwaz Hai Kaam Tera
Tere Samne Asman Aur Bhi Hain
You are an eagle, flight is your vocation:
You have other skies stretching out before you.

Issi Roz-o-Shab Mein Ulajh Kar Na Reh Ja
Ke Tere Zaman-o-Makan Aur Bhi Hain

Do not let mere day and night ensnare you,
Other times and places belong to you.

Gye Din Ke Tanha Tha Main Anjuman Mein
Yahan Ab Mere Raazdaan Aur Bhi Hain
Gone are the days when I was alone in company—
Many here are my confidants now.
 

Latest posts

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom