Ziyada ghoor B acha nahien aysi batoun per,
Kisi ka naam hath pe likh likh k mitana meri adat hai,
Mohabat mien houn sanjeeda kitna deyktey rehna,
Mohabbat youn har kisi se jatana meri adat hai...
--------------------------
Dil ka sakoon cheen kr woh jeeney k asbaab le gaya,
Aik shaks meri neend mere khawab le gaya,
Batka ke saari raat mujhe sehar ki talash mien,
Najaney kahan kahan mujhe mahtaab le gaya.
---------------
Gurayz e shab se subhoo se Qalaam rakhtey tey,
Kabhi woh din thy k zulfoun mien shaam rakhtey tey,
Tumhary hath lagay hien jo karo so karo,
Kabhi tu hum app jaisey ghulaam rakhtey tey.
Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha
Poet: Mohsin Naqvi
Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha
Bas Mujh Say Yun Hi Bichar Gia
Lafzon Ki Hadon Say Mawran Tha
Ab Kis Say Kahon Woh Shakhs Kia Tha
Woh Meri Gazal Ka Aaina Tha
Har Shakhs Yeh Sab Janta Tha
Har Simt Is Ka Tazkirah Tha
Har Dil Mein Woh Jaisay Bas Raha Tha
Mein Is Ki Ana Ka Aasra Tha
Woh Mujh Say Kabhi Roothta Nahi Tha
Mein Dhoop Kay Ban Mein Jal Raha Tha
Woh Sayah Abr Ban Gia Tha
Mein Banjh Ruton Ka Aashna Tha
Woh Mosam Gul Ka Zaiqah Tha
Ik Bar bichar Kay Jab Mila Tha
Woh Mujh Say Mil Kay Ro Para Tha
Kia Kuch Na Is Say Kaha Gia Tha
Is Nay To Labon Ko Si Lia Tha
Woh Chand Ka Humsafar Tha Shayad
Raaton Ko Tamam Jagta Tha
Honton Mein Gulon Ki Narm Khushboo
Baaton Mein To Shehad Gholta Tha
Kehnay Ko Juda Tha Mujh Say Lekin
Woh Meray Ragon Mein Goonjta Tha
Is Nay Jo Kaha Kia Dil Nay
Inkar Ka Kis Mein Hoslah Tha
Yun Dil Mein Thi Yaad Is Ki Jaisay
Masjid Mein Chiragh Jal Raha Tha
Mat Pooch Hajab Kay Qarinay
Woh Mujh Say Bhi Kam Hi Khul Saka Tha
Is Din Mera Dil Bhi Tha Pareshan
Woh Bhi Mera Dil Say Kuch Khafa Tha
Mein Bhi Dara Hua Sa Lekin
Rung Is Ka Bhi Kuch Ura Ura Tha
Ik Khof Sa Hijr Ki Ruton Ka
Donon Peh Moheet Ho Chala Tha
Ik Pal Mein Jhapak Gayeen Jo Aakhein
Manzar Hi Doosra Tha
Socha To Thahar Gaye Zamanay
Dekha To Woh Door Ja Chuka Tha
Qadmon Say Zameen Sarak Gayi Thi
Suraj Ka Rung Saanola Tha
Chaltay Huye Log Bhi Ruk Gaye The
Thehra Hua Shehar Ghoomta Tha
Sahmay Huye Perh Kaanptay The
Patton Mein Har Is Reengta Tha
Rakhta Tha Mein Jis Mein Khaab Apnay
Woh Kanch Ka Ghar Chatakh Gia Tha
Hum Donon Ka Dukh Tha Aik Jaisa
Ahsaas Magar Juda Juda Tha
Kal Shab Mila Tha Woh Doston Ko
Kehtay Hain Udas Lag Raha Tha
Mohsin Yeh Ghazal Bhi Keh Rahi Hay
Shayed Tera Dil Dukha Hua Tha
kamal-e-zabt
By Parveen Shakir
" kamal-e-zabt ko khud bhi to azmaungi
main apne hath se us ki dulhan sajaungi
supurd kar k use chandni k hathon
main apne ghar k andheron ko laut aungi
badan k karb ko wo bhi samajh na payega
main dil main roungi ankhon main muskuraungi
wo kya gaya k rafaqat k sare lutf gaye
main kis se ruth sakungi kise manaungi
wo ik rishta-e-benam bhi nahin lekin
main ab bhi us k isharon pe sar jhukaungi
bicha diya tha gulabon k sath apna wajud
wo so k uthe to khwabon ki rakh uthaungi
ab us ka fun to kisi aur se mansub hua
main kis ki nazm akele main gungunaungi
jawaz dhundh raha tha nai muhabbat ka
wo kah raha tha k main us ko bhul jaungi
samaaton main ghane jangalon ki sansen hain
main ab kabhi teri awaz sun na paungi "