What's new

Urdu Adab

There is one verse from the Upanishads that I have remembered since childhood. I am not sure if it qualifies as a poem, but nevertheless:


asato mA sad gamayA.

tamaso mA jyotir gamayA.

mrtyor mA amrtam gamayA.



Lead me from the unreal to the Real.

Lead me from darkness unto Light.

Lead me from death to Immortality.

Oops...sorry...this was supposed to be an urdu thread wasn't it? Wait...I"ll find something urdu...
 
sheez I forgot you guys cant read Hindi. Get a mirror and read it upside down...maybe it will look like urdu.:crazy:

Here is the translation on wiki

My heart is not happy in this despoiled land
Who has ever felt fulfilled in this transient world

The nightingale laments neither to the gardener nor to the hunter
Imprisonment was written in fate in the season of spring

Tell these emotions to go dwell elsewhere
Where is there space for them in this besmirched (bloodied) heart?

I had requested for a long life a life of four days
Two passed by in pining, and two in waiting.

How unlucky is Zafar! For burial
Even two yards of land were not to be had, in the land (of the) beloved.

:) how about standing upside down to read it.
Hey BTA is that poetry of Last Mughal emperor of India Bahadur Shah Zafar which he worte during his impriosnment in prison of Burma in Yangoon ????
 
how about standing upside down to read it.

Well..if the girl who is supposed to read the script is wearing a skirt it would embarrass her. :tongue:

Hey BTA is that poetry of Last Mughal emperor of India Bahadur Shah Zafar which he worte during his impriosnment in prison of Burma in Yangoon ????

Bahadur Shah Zafar - Yes, not sure about where he wrote it though.
 
vOh unhE yaadh karE, jisnEy bHulaayaa hO kabHi
humnEy unkO naa bHulaayaa, na kabHi yaadh kiyaa

Dont know the author.
 
Well..if the girl who is supposed to read the script is wearing a skirt it would embarrass her. :tongue:.

even if she is wearing Pakistani/Indian shirt (kameez) :tongue:

Thats why when someone threatend me to tie me upside down as punishment if i ever fight again i said OK but first i would tie up my shirt from both sides :D :D


vOh unhE yaadh karE, jisnEy bHulaayaa hO kabHi
humnEy unkO naa bHulaayaa, na kabHi yaadh kiyaa.


Ankhoon Ka Rang Baat ka Lehja Badal Gaya
Wo shakhs aik sham main kitna batdal gaya
Shayed Wafa K naam se Ukta gaya tha wo
Jo Manzil Ka Paas aa kar Rasta badal gaya
 
Written by Bahadur Shah Zafar?
Great poem. :agree:

Lagta nahin hai jee Mera Ujray dayar mein.
Kiski banee hai alam e na paidar mein.
Kehdo in hasraton say kahin aur ja basain
itnee jageh kahan hai dil e dagdar mein
Umre daraaaz maang key Lai they char din
do aarzoo main kat gai do intezar mein
Kitna hai badnaseeb Zafar Dafn kay liye
do gaz zameen bhi na mili ko e yar mein

i cant remember the second verse. Anytakers to fill in the blanks?
Araz
 
vOh unhE yaadh karE, jisnEy bHulaayaa hO kabHi
humnEy unkO naa bHulaayaa, na kabHi yaadh kiyaa

Dont know the author.

Its from one of Ghulam Ali's ghazals, written by Akbar Allahabadi

Abdaaz apne dekhtay hain aaine me woh
Aur yeh bhi dekhte hain ke koi dekhta na ho

Woh unhein yaad karein, Jis ne bhulaaya ho kabhi
Ham ne unkoo na bhulaya na kabhi yaad kiya.

Hungama hai kyon barpa thodi si jo pee li hai
Dakaa to nahi daala chori to nahi ki hai
 
Chand kaliyaan nishaat ki chun kar
Muddaton mehr-e-yaas rehta hoon
Tera milna khushi ki baat sahi
Tujh se mil kar udaas rehta hoon

Nazar nazar se milaao bahaar ke din hain
Ghamon ko bhool bhi jaao bahaar ke din hain
Shayed mujhe nikaal ke puchtaa rahe ho aap
Mehfil main is khayaal se phir aagaya hoon main

Mehfil mein baar baar kisi par nazar gaee
Ham ne bachaaee laakh magar phir udhar gaee ;)

Agha Bismil
 
Zaroori Baat Kehni ho koi Waada Nibhaana ho
Usey Aawaaz Deynee ho usey Wapas Bulaana ho
Hamesha Dair Kar deta houn mein
Madad Karna ho ya phir yar ki Dharas Bandhana ho
Kesi daireena Raste par Kiseey sey milney jaana ho
Hamesha Dair Kar deta houn mein
Zaroorat Ghair ki ho ya koi gum ho-----
Haqeeqat aur thi Kuch use ja kar Batana ho
Hamesha Dair Kardeta hun mein
Cant rememeber the rest Sorry
Araz
 
aakhari Bar Milo Aisey ke jalte hoey Dil
rakh ho jain koi aur Taqaaza Na karain
Zakhm e Duniya na bhare, Chaak e Tamanna na silley
Saansain Hamwar rahainShama ki Lo tak na hille
Baatain bus itnee key lamhe unhein aakar gin jaain.
Sir uthaey Koey Umeed to Aakhain chin jain
Us Mulaqaat ka is baar koiWehm Nahin
Jis sey ik aur Mulaqaat ki Surat nikle
Ab na tajdeed e wafa ka na Hikayaat ka waqt
Lut Gaee Shehr e hawadis mein Mataa e Alfaaz.
Ab jo kehna ho to kaise koi nauh kaheeye
Aaj tak tum say lab o Jaan ke Kai Rishtey thay
Kal say jo hoga ussey Kon Sa Rishta Kaheeyai
Phir na mehkain gay kabhi Aarizo Rukhsar Millo
Maatami hai Dam e Rukhsat Dar o deewar Millo
Phir na iqraar na inkaar millo
aakhari Bar millo


To be completed, when i can remember the rest

Araz.
 
Neo .
There was once a time when i could have filled this whole section with poetry. Unfortunately, my memory is gone and i have forgotten a lot more than i can remember.
here is another couplet.
Narm Narm Shakhoon par Nanhe Nanhe Phool
Kaise Tum ko daikh Rahe Hain Daikho to
main ney Tumharee Qurb ki Sar sharee meein
Kitne achey shair likhey hein daikho To
Araz
 
Hum Key Tehrey Ajnabee Kitnee Mulaaqaton key Baad
Hum Banain gey aashna kitnee madaraaton key baad

Phir Nazar mein aaie gee Bai daagh sabzay kee Bahaar
Khoon key Dhabbey Dhulain gey Kitnee Barsaaton key Baad

They Bahot Bezapt lamhey Waqt e Rukhsat key Qareeb
they bohat Bemehr Subhain mehrbaan Raaton key Baad

missing a verse here
Kuch giley Shikwey hee Kar laitey munaajaaton key baad

Faiz kehney aaiy they jo Baat Jaan Sadqaa kiye
An Kahee hee reh Gai wo baat sub baaton kay baad

Read this poem and imagine the fall of East Pakistan and then you can see all the pain and helplessness that Faiz has so beautifully portrayed. I can never forget that day and the shame in the eyes of my parents and the public and therefore I will remember this poem to my dying days.
WaSalam
Araz
 
Qurb k na wafa k hote hain
saray jhagray ana k hote hain

baat niyat ki sirf hai warna
waqt saray dua k hote hain

bhool jate hain, mat bura kehna
log putlay khata k hote hain

Wo bazahir jo kuch nahi lagte
un se rishtay bala k hote hain

wo hamara hain is tarah se Faiz
jaisay banday khuda k hote hain


Faiz Ahmad Faiz
 

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom