What's new

Poetry by famous poets

Raaz

FULL MEMBER

New Recruit

Joined
May 14, 2009
Messages
15
Reaction score
0

MEER TAQI MEER
~~~~~~~~~~~


dekh to dil k jan se uthta hai
ye dhuan sa kahan se uthta hai

gor kis dil-jale ki hai ye falak
shola ik subah yan se uthta hai

khana-e-dil se zinhar na ja
koi aise makan se uthta hai

nala sar khenchata hai jab mera
shor ek asman se uthta hai

larti hai us ki chashm-e-shokh jahan
ek ashob wan se uthta hai

sudh le ghar ki bhi shola-e-awaz
dud kuch ashiyan se uthta hai

baithne kaun de hai phir us ko
jo tere astan se uthta hai

yun uthe ah us gali se ham
jaise koi jahan se uthta hai

ishq ik 'Meer' bhari paththar hai
bojh kab natawan se uthta hai

~~~~~~
 
Last edited:
GHALIB
~~~~~


bas k dushwar hai har kam ka asan hona
admi ko bhi mayassar nahi insan hona

giriya chahe hai kharabi mere kashane ki
dar-o-diwar se tapak hai bayaban hona

wa-e-diwangi-e-shauq k har dam mujh ko
ap jana udhar aur ap hi hairan hona

jalwa azbas k taqaza-e-nigah karta hai
jauhar-e-aina bhi chahe hai mizagan hona

ishrat-e-qatlgah-e-ahal-e-tamanna mat puch
id-e-nazzara hai shamshir ka uriyan hona

le gaye khak mein ham dag-e-tamanna-e-nishat
tu ho aur ap basadrang-e-gulistan hona

ishrat-e-para-e-dil, zakhm-e-tamannakhana
lazzat-e-rish-e-jigar garq-e-namakdan hona

ki mere qatl k bad us ne jafa se tauba
haye us zodpasheman ka pasheman hona

haif us char girah kapre ki qismat 'ghalib'
jis ki qismat mein ho ashiq ka gareban hona

~~~~~~
 
Faiz Ahmed Faiz

Hum dekhenge
Lazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ke jis ka wada hai
Jo lauh-e-azl mein likha hai

Jab zulm-o-sitam ke koh-e-garan
Rooi ki tarah ur jaenge
Hum mehkoomon ke paaon tale
Ye dharti dhar dhar dharkegi
Aur ahl-e-hakam ke sar oopar
Jab bijli kar kar karkegi

Jab arz-e-Khuda ke kaabe se
Sab but uthwae jaenge
Hum ahl-e-safa mardood-e-harm
Masnad pe bethae jaenge
Sab taaj uchale jaenge
Sab takht girae jaenge

Bas naam rahega Allah ka
Jo ghayab bhi hai hazir bhi
Jo manzar bhi hai nazir bhi
Utthega an-al-haq ka nara
Jo mai bhi hoon tum bhi ho
Aur raaj karegi Khalq-e-Khuda
Jo mai bhi hoon aur tum bhi ho

Translation

We shall Witness
It is certain that we too, shall witness
the day that has been promised
of which has been written on the slate of eternity

When the enormous mountains of tyranny
blow away like cotton.
Under our feet- the feet of the oppressed-
when the earth will pulsate deafeningly
and on the heads of our rulers
when lightning will strike.

From the abode of God
When icons of falsehood will be taken out,
When we- the faithful- who have been barred out of sacred places
will be seated on high cushions
When the crowns will be tossed,
When the thrones will be brought down.

Only The name will survive
Who cannot be seen but is also present
Who is the spectacle and the beholder, both
I am the Truth- the cry will rise,
Which is I, as well as you
And then God’s creation will rule
Which is I, as well as you
 
Faiz Ahmed Faiz.............Hum dekhenge
Asim, I thought you were pro-dandacracy (pro-Military rule) or maybe I am wrong. At any rate, listen it in the voice of Faiz Ahmed Faiz and than listen it from Iqbal Bano and boy O' boy, its amazing.


 
Last edited by a moderator:


MEER TAQI MEER
~~~~~~~~~~~


dekh to dil k jan se uthta hai
ye dhuan sa kahan se uthta hai

gor kis dil-jale ki hai ye falak
shola ik subah yan se uthta hai

khana-e-dil se zinhar na ja
koi aise makan se uthta hai

nala sar khenchata hai jab mera
shor ek asman se uthta hai

larti hai us ki chashm-e-shokh jahan
ek ashob wan se uthta hai

sudh le ghar ki bhi shola-e-awaz
dud kuch ashiyan se uthta hai

baithne kaun de hai phir us ko
jo tere astan se uthta hai

yun uthe ah us gali se ham
jaise koi jahan se uthta hai

ishq ik 'Meer' bhari paththar hai
bojh kab natawan se uthta hai

~~~~~~
Wow, man you like Meer? Amazing! Well even Ustad Ghalib said:

Ghalib apna ye aqeeda hai baqaul Nasikh
aap be behra haiN jo motaqid-e-Meer nahiN


Anyway, lets listen this in the voice of Mehdi Hasan.

 
Last edited by a moderator:
Kalam e Faiz ba zuban e Faiz

[video=google;-5424991500700383559]http://video.google.com/videoplay?docid=-5424991500700383559[/video]
 
Ahmed Faraz:


sunaa hai log use aaNkh bhar ke dekhate hain

sunaa hai log use aa.Nkh bhar ke dekhate hai.n
so us ke shahar me.n kuchh din Thahar ke dekhate hai.n

sunaa hai rabt hai us ko Kharaab haalo.n se
so apane aap ko barbaad karake dekhate hai.n

sunaa hai dard kii gaahak hai chashm-e-naazuk us kii
so ham bhii us kii galii se guzar kar dekhate hai.n

sunaa hai us ko bhii hai sher-o-shaayarii se shagaf
so ham bhii mojaze apane hunar ke dekhate hai.n

sunaa hai bole to baato.n se phuul jharDate hai.n
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhate hai.n

sunaa hai raat use chaa.Nd takataa rahataa hai
sunaa hai sitaare baam-e-falak se utar kar dekhate hai.n

sunaa hai hashr hain us kii Gazaal sii aaNkhein
sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhate hain

sunaa hai din ko use titaliyaaN sataatii hain
sunaa hai raat ko jugnuu Thahar ke dekhate hai.n

sunaa hai raat se barh kar hain kaakulen us kii
sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhate hain

sunaa hai us kii siyaah chashmagii qayaamat hai
so us ko surmaafarosh aaNkh bhar ke dekhate hain

sunaa hai us ke labon se gulaab jalate hain
so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhate hain

sunaa hai aa_iinaa tamasaal hai jabii.n us kaa
jo saadaa dil hain ban saNvar ke dekhate hain

sunaa hai jab se hamaa_il hain us kii gardan mei0n
mizaaj aur hii laal-o-gauhar ke dekhate hai.n

sunaa hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan me.n
palang zaave us kii kamar ke dekhate hai.n

sunaa hai us ke badan ke taraash aise hai.n
ke phuul apanii qabaaye.N katar ke dekhate hai.n

vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahii.n
ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhate hai.n

bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa
so rah_ravaan-e-tamannaa bhii Dar ke dekhate hai.n

sunaa hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
makiin udhar ke bhii jalve idhar ke dekhate hai.n

ruke to gardishe.n us kaa tavaaf karatii hai.n
chale to us ko zamaane Thahar ke dekhate hai.n

kise nasiib ke be-pairahan use dekhe
kabhii kabhii dar-o-diivaar ghar ke dekhate hai.n

kahaaniyaaN hiin sahii sab mubaalaGe hii sahii
agar vo Khvaab hai taabiir kar ke dekhate hain

ab us ke shahar me.n Thahare.n ki kuuch kar jaaye.N
'Faraz' aao sitaare safar ke dekhate hai.n
 
Last edited by a moderator:
Faiz Ahmed Faiz

Hum dekhenge
Lazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ke jis ka wada hai
Jo lauh-e-azl mein likha hai

Jab zulm-o-sitam ke koh-e-garan
Rooi ki tarah ur jaenge
Hum mehkoomon ke paaon tale
Ye dharti dhar dhar dharkegi
Aur ahl-e-hakam ke sar oopar
Jab bijli kar kar karkegi

Jab arz-e-Khuda ke kaabe se
Sab but uthwae jaenge
Hum ahl-e-safa mardood-e-harm
Masnad pe bethae jaenge
Sab taaj uchale jaenge
Sab takht girae jaenge

Bas naam rahega Allah ka
Jo ghayab bhi hai hazir bhi
Jo manzar bhi hai nazir bhi
Utthega an-al-haq ka nara
Jo mai bhi hoon tum bhi ho
Aur raaj karegi Khalq-e-Khuda
Jo mai bhi hoon aur tum bhi ho

Translation

We shall Witness
It is certain that we too, shall witness
the day that has been promised
of which has been written on the slate of eternity

When the enormous mountains of tyranny
blow away like cotton.
Under our feet- the feet of the oppressed-
when the earth will pulsate deafeningly
and on the heads of our rulers
when lightning will strike.

From the abode of God
When icons of falsehood will be taken out,
When we- the faithful- who have been barred out of sacred places
will be seated on high cushions
When the crowns will be tossed,
When the thrones will be brought down.

Only The name will survive
Who cannot be seen but is also present
Who is the spectacle and the beholder, both
I am the Truth- the cry will rise,
Which is I, as well as you
And then God’s creation will rule
Which is I, as well as you

Thanks for the translation, lovely petry!
 
GHAZA BY SAMINA RAJA

***


Main tumharay aks ki aarzoo mein bass aayina hi bani rahi
Kabhi tum na samnay aa sakay, kabhi mujh pay gard pari rahi

Woh ajeeb shaam thi,aaj tak meray dil mein uss ka malal hai
Meri tarah jo teri muntazir, teray rastay mein khari rahi

Kabhi waqf-e-hijr main ho gaei,kabhi khwab-e-wasl mein kho gaei
Main faqeer-e-ishq bani rahi, main aseer-e-yaad huwi rahi

Bari khamshi say sarak kay phir meray dil kay gird lipat gaei
Woh rida-e-abr-e-sfed jo sar-e-kohsar tani rahi

Huwi uss say jabb meri baat bhi,thi shareek-e-dard woh zaat bhi
To na janay kon si cheez ki meri zindgi mein kami rahi


***
 
main tumharay aks ki.jpg
Poet Samina Raja
 
آنکھ سے دور نہ ہو دل سے اتر جائے گا

وقت کا کیا ہے، گزرتا ہے، گزر جائے گا

اتنا مانوس نہ ہو خلوتِ غم سے اپنی

تو کبھی خود کو بھی دیکھے گا تو ڈر جائے گا

تم سرِ راہِ وفا دیکھتے رہ جاؤگے

اور وہ بامِ رفاقت سے اتر جائے گا

زندگی تیری عطا ہے تو یہ جانے والا

تیری بخشش تری دہلیز پر دھر جائے گا

ڈوبتے ڈوبتے کشتی کو اچھالا دے دوں

میں نہیں، کوئی تو ساحل پہ اتر جائے گا

ضبط لازم ہے مگر دکھ ہے قیامت کا فراز

ظالم اب کے بھی نہ روئے گا تو مرجائے گا

(احمد فراز)

1.jpg
 
Back
Top Bottom