Main tu yeh kehti hun ke lagta hai ke army...as an instituition ...bhi aisy react karti hai...jaisy koi bacha... Furan naraz hotay hain aur fauran maan jatay hain?
Pehli baat tu yeh hai ke 6th oct ko jab ye story aayi thee..us ke baad jab Corp Comm conference hui thee.. Inhon ne us waqt sab options discuss kiye honge?? Ke hum kahan tak jaa saktay hain aur kahan tak nahi?? Right? Us waqt inhein apni limitations pata chal chuki hongi...discussion ke baad..ke hum main culprits ko arrest nahi karsaktay.....tu iss issue ki itni hype crreate karni hi nahi chahye thee.. Bas iss story ke baad ek denial govt ki taraf se aajat...ek ISPR ki taraf se...aur baat khatam kar dete.. Aaj dawn leaks ko sab bhool chukay hotay thay... Hum bhi samajhtay ke ek ordinary story thee.. Denial se Baat khatam hogayi.. Hype inhon ne khud create ki..
Corps Comm press release main kaha gay ke breach of national security hogayi..qayamat aagayi...pata nahin kiya hogaya? Hum inki baaton main aagaye
Abb ye 1st may wali tweet dekh lein... Uss waqt bhi yehi notification aaya tha..aur us waqt bhi background main cheezein settle ho chuki theen.. Us waqt itna react karnay ki kia zuroorat thee? Kiun shor machaaya? Ke notification is rejected? Thora thanday dil se ghaur kar letay.. Kia yeh itna bachay hain ke inhein nahi pata tha ke notification is rejected ka media par..ya govt ki taraf se kia reaction aasakta hai? Uss notification ko uss waqt hi accept kar letay.. Us din ke aur aaj ke notfication main kia farq hai?? Aisa kiya hogaya raaton raat? Agar 1 st may ko accept kar lete tuus waqt ziada acha hota...ya ab tweet wapis le kar??
Aur ab jin 3 logon ko mention kiya hai notification main..aur 1st may ko bhi kiya tha.. In names par tu pehlay week ya month main issue settke hosakta tha.. 7 months tak kiun latkaaya??
Khud hype create karte hain aur jab uss hype ki wajah se public koi action ..expect karay tu phir public ko blame kartay hain? Kia public ko bilkol hi pagal samajh liya hai inhon ne? Ye tu politicians se bhi ziada public ko bewaqoof samajhtay hain...aur end main public ko blame kar dena sab se asaan hai
@PakSword
Pressure bhi tou rakhna hota hai.. khuli chhutti nahi de saktay .. warna rozana aisi harkatain karaingay yeh hukumraan..
Acha agar yeh hype create na ki hoti aur har week aik khabar aanay lagti tou kia hota?
Aur iss hype ki wajah se Maryam (ya koi aur) dobara aisa karnay ka soch saktay hain?
Kia aap ko andaza hai ke pichlay 7 months, specially after May 1st, kaisay guzray hongay Maryam pe?
Kuchh strategic games hotay hain.. kuchh tactical games hotay hain, kuchh operational.. aur yeh na samjhain ke sari aql e kul PA main hai.. woh bhi hamari tarah insaan hain.. PMLN bhi strategy aur tactics wise halki nahi hai..
Yeh unn hi ki tou strategy hai ke Pakistan ko dependent kardia, maqrooz kardia.. jis se taqreeban economy maflooj hochuki?
PA main aur baqi parties ke strategists main farq yeh hai ke PA kafi disciplined organization hai.. political parties nahi hain..
Did it really go that far? ...that NS was about to ask the COAS to sack DG-ISPR .....
yes, NS decided to go all the way.. aap inn ke bayanaat parh lain pichlay kuchh dinon main SC aur Army ke khilaaf...
Maryam's media cell became hyper active.. Sold anchors started doing programs against PA..
Today, the presser by interior ministry was very important and we discussed the possibility of starting a new offendive on PA by the govt..
A couple of hours before that presser, COAS suddenly met PM and within half an hour, Ch, Nisar's presser postponed, and ISPR released a revised statement..
Abhi tak PMLN ko bhi nahi samajh aarahi ke kia hua hai.. unn ka plan tou offensive main janay ka tha.. aur IK ko establishment ka bacha qaraar dene ka tha takay awam ko yeh chooran becha jasakay ke Panama international and national establishment ki saazish hai, NS ke khilaaf aur IK inn ka mohra hai..
But sab dhara ka dhara reh gaya..