PakSword
MODERATOR
- Joined
- Dec 6, 2015
- Messages
- 19,505
- Reaction score
- 103
- Country
- Location
Lekin BAB law ke mutabiq tu agar kisi public office holder ki koi aisi property nikal aaye...jo woh justify na karsakein tu baap ko pakra jaata hai na? Tu PM k bachay justify nahi karsaky, aur phir PM ne bhi tu har speech doosre se different ki hai,,,ye tu PM ne accept kiya hai khud hi ke properties humari hain, national assemblybki speech main,, hum ne khareeday..ye kaha tha..ke huzoor ye hain woh wasaail aur zaraye..jin se ye flats khareeday gaye..tu PM ne tu accept kia hai..phir PM ka kaisy link nahi nikalta? Aur jo doosra qoum se khitab kia tha..us main PM ne ek aur kahani sunaayi thee
Dekhain main yeh keh raha hun ke abhi tak inquisitorial proceedings huee hain.. you can't expect anything out of these proceedings without proper evidence recording.
App ne biilkul theek kaha ke baap ko pakra jaega... lekin investigation ke liey only.. Once investigation is complete and PM or his children aren't able to satisfy courts, PM is gone..
Daada sirf apnay ek potay ko kiun dey ga? Baqi potay bhi tu hain..aur beech main daada ka beta hai..jo ke PM reh chuka hai, 2 baar..tu betay ka link kaisy nahi? Jab ke koi bank transaction nahi...aur pakora judge ne kaha tha ke kia paisy oonton par le kar gaye thay?
Require investigation.. Aap apna comment dobara parhain.. aap khud "sawalaat" kar rahi hain.. yehi sawalaat judges ke bhi hain, jin ke jawabaat nahi aaye.. it was an inquisitorial proceeding.. Iss ke do hi nateejay nikalnay thay.. ya tou iss ko frivolous keh kar kharij kar dia jata, agar PM saaray kaghzaat le aatay, ya phir iss ko trial court main convert kardia jaata agar PTI verified docs de deti ya PM ke lawyer docs ko tasleem kar letey.. Agar yeh dono kaam nahi huey tou iss ka matlab investigation is required.. by whom? NAB.. but now NAB is not functional in the eyes of SC. So SC can investigate by itself.
Family members are not public office holders..lekin PM ne Maryam Nawaz ko dependent likha tha, tax documebts main, aur election se pehlay.. Lekin Maryam ne atleast Pakistan main tu agricultural land bhi accept kar liya hai, tu assets concel karna jurm nahi hai?
Iss pe judges aakhir tak shash o panj main mubtila thay.. kyun ke hamaray qanoon main dependent ki koi definition nahi hai.. kabih dictionary ka sahara lia gaya court main, kabhi kisi aur mulk ki misaal di gaee.. abb yeh judges par hi munhasir hai ke kis ka moaqqif tasleem kartay hain. PM ne tou kaha hai ke form main koi jaga hi nahi thee iss liey ghalat jaga likh dia gaya..
Lolll...
Advocate ijaz Afzal tu ab bhi yehi chahtay honge... Pakora judge ka 100% kuch krh nahi sakti.....end main woh kuch sudhar tu gaye thay..lekin aaj kal unka kia mood hai? Kuch kaha nahi jaasakta....
hmm no one knows what's in the minds of judges..