What's new

Naswar Corner

Status
Not open for further replies.
. .
He is not gone for good, nature's call is my good guess however :whistle:

you are right it was nature's call- if sleeping is nature-

i was so much bored in conversing with boring seiko that i fell asleep- :bunny:-
Good Bless the caller who woke me up-:smokin:-

I think @JonAsad took my words about Aeronaut banning him seriously and ran away :chilli:


JonAsad, mazak tha yaar.. Aeronaut wont ban you.. Wapas aaja :P

Lol- Aero does not ban people- he delete and closes threads only- :whistle:-
 
Last edited by a moderator:
. .
Maybe he has been drinking :lassi: a bit too much...:D

lol- maybe people assuming so much- :whistle:-

I think @JonAsad took my words about Aeronaut banning him seriously and ran away :chilli:


JonAsad, mazak tha yaar.. Aeronaut wont ban you.. Wapas aaja :P

Hi-

Aero does not ban people- he at max deletes posts or closes threads- :woot:-
apart from that @vsdoc guy- ;)-
 
Last edited by a moderator:
.
you are right it was nature's call- if sleeping is nature-

i was so much bored in conversing with boring seiko that i fell asleep- :bunny:-
Good Bless the caller who woke me up-:smokin:-

Allah Karam kary us bechari badnaseeeb per :bunny:


Lol- Aero does not ban people- he delete and closes threads only- :whistle:-


That is a conspiracy theory :D
 
.
In mood of some some rebellious poetry???

:)

Jo Zulm Peh Laanat Na Kare, Aap Laaeen Hai

Jo Jabar Ka Munkir Nahi, Woh Munkire Deen Hai
Faiz Ahmad Faiz
Zulm ki jo bhi intaha ho gee ,
Koi naa misl - e - Karbala ho gee
Aane wala hai daur - e - Dajjaali ,
Duniya Aafat mein mubtila hogee
Hans ke kab tak saheiN sitam tere ,
Sabr ki koi intaha ho gee
Aap kar leiN to aapka Andaaz ,
Hum se ho jaaye to khata hogee
Un ki HamdardiyaaN urooj pe haiN,
Beti Muflis ki be - rida ho gee
Jub Woh poochheiN ge Mudd'aa kya hai ,
Eik chhoti si Ilteja ho gee
Aaye ga aisa eik din bhi 'Hasan',
Poori Be - bas ki jub Dua ho gee
 
. . .
Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay,
Chand logon ki khushyon ko lay ker chalay,
Wo jo saye main har maslihat kay palay;
Aisay dastoor ko,
Subh e bay noor ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Main bhee kha’if naheen takhta e daar say,
Main bhee Mansoor hoon, keh do aghyaar say,
Kyun daraatay ho zindaan ki divar say,
Zulm ki baat ko,
Jehel ki raat ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Phool shaakhon pay khilnay lagay tum kaho,
Jaam rindon ko milnay lagay tum kaho,
Chak seenon kay silnay lagay tum kaho,
Iss khulay jhoot ko,
Zehan ki loot ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Tum nay loota hai sadyon hamara sakoon,
Ab na hum per chalay ga tumhara fasoon,
Chara gar main tumhain kiss tara say kahoon?
Tum naheen charaagar,
Koi maanay magar,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Well, while this one was a classic written by Habib Jalib in general Ayub Khan era against the martial law and military rule. Jalib was first imprisoned during the martial law regime of Ayub Khan due to his opposition of Khan's policies. He was against military dictatorship, even in Zia ul Haq regim, he wrote:

Zulmat ko zia, sar sar ko saba, banday ko khuda kya likhna
Deewar ko dar, pathar ko gauhar, jugnu ko diya kya likhna

HOWEVER, this is what he had to say when a DEMOCRATIC government was ELECTED under Benzair Bhutto: (supposedly that was what he wanted)

Haal ab tak wahi hain ghareeboan kay

Din phiray hain faqat waziroan kay

her Bilawal hai Dais ka maqrooz

paoon nangay hain Benazeeroan kay
This was after General Zia-ul-Haq's death in 1988, Benazir Bhutto came to power and released Habib Jalib. When asked if he felt any change after democracy, disappointed at the state of the nation he said these lines!


Such has been our bad luck when it comes to politicians/leaders. Sad!
 
. . .
5I6V7.jpg

hLSNz.jpg


RashmiRathi

main dekh raha hoo kurukshetra ke ran ko
naachate huye manujon par maharan ko
shodint se saari dhara vilhann hai
ja raha kintu nirbadh parth ka rath hai

hai kaat rahe hain aap timir ki kara
arjun ki hit bah rahi ulat kar dhara
shat paash vyarth ripu ka dal phailata hai
vah jaal tod kar bahar nikal jata hai

main dekh raha hoon janani ki kal kya hoga
iss maha samar ka antim pal kya hoga
lekin man tab bhi tanik na ghabrata hai
utsah aur doguna badhta jata hai

baj chuka kaal ka patah, bhayanak kshran hai
de raha nimantaran sab ko maha maran hai
chchaati ki poore purush pralay jhelenge
jhanjha ki ulajhi laten kheench khelenge

kuch bhi na rahega shesh antt mein jaa kar
vijayee hoga santusht tatvkya paa kar
kaurav vileen jis path par ho jayenge
pandav kya usaseraah bhinn paayenge

hai ek panth,koyee jeete ya haare
khudd mare ya ki badh kar dushman ko maare
ek hi desh dono ko jaana hoga
bachane ka koi nahi bahana hoga

nissar dhoh ki kriya, vyarth yeh ran hai
khokhala hamara aur parth ka pran hai
fir bhi jaane kis liye na hum rukate hain
chahata kaal jis aur udhar jhukate hain

jeevan sarita ki badi anokhi dati hai
kuch samajh nahi paati manav ki mati hai
bahati prachandata se sabko apnakar
sahsa kho jaati maha sindhu ko paa kar

fir lahar,dhaar,budbud hi nahi nishaani
sabaki rah jaati keval ek kahani
sab mil jaate vilay ek hi jal main
moortiyan mil jaati dhaatu taral main

so punya bhoomi iss kurkshetra main kal se
laharen ho ekakar milengi jal se
moortiyan khoob aapas main takarayengi
taarly beech fir gal kar kho jayengi

lekin chinta yeh vratha,baat jaane do
jaisa bhi ho kal ka prabhat aane do
deekhati kisi bhi aur na ujiyaali hai
satya hi aaj ki raat badi kaali hai

chandrama surya jab tam main ghul jaate hain
kirano ke anveshi jab akulaate hain
tab dhoomketu kuch iss tarah aata hai
roshani jara marghat par phailata hai.
 
.
zulm phir zulm hai, baRhta hai to miT jaataa hai
Khoon phir Khoon hai, Tapkega to jam jaayega

Khaak-e-sehra pe jame yaa kaf-e-qaatil pe jame
farq-e-insaaf pe yaa paa-e-salaasal pe jame
teGh-e-bedaad pe yaa laasha-e-bismil pe jame
Khoon phir Khoon hai Tapkega to jam jaayega

laakh baiThe koi chhup chhup ke kameeN gaahoN meiN
Khoon Khud deta hai jalaadoN ke maskan ka suraaGh
saazisheiN laaKh uRaati raheiN zulmat ka naqaab
le ke har booNd nikalti hai hatheli pe chiraaGh

zulm kii qismat-e-nakaarah-o-rusvaa se kaho
jab’r kii hikmat-e-purkaar ke eema se kaho
mehmal-e-majlis-e-aqwaam kii laila se kaho
Khoon diiwana hai, daaman pe lapak sakta hai
shola-e-tuNd hai, Khirman pe lapak sakta hai

tum ne jis Khoon ko maqtal meiN dabaanaa chaaha
aaj vo kuchaa-o-bazaar meiN aa nikla hai
kahiiN shola kahiiN naarah kahiiN patthar ban ke
Khoon chalta hai to rukta nahiiN sangeeno se
sar jo uThtaa hai to dabtaa nahiiN aaeeno se

zulm ki baat hi kya, zulm ki auqaat hi kya
zulm bas zulm hai, aaGhaaz se anjaam talak
Khoon phir Khoon hai, so shakl badal sakta hai
aisi shakleiN ke miTaaoo to miTaaye na bane
aise shole k bujhaao to bujhaaye na bane
aise naare k dabaao to dabaaye na bane



-----Sahir Ludhianvi
 
.
@JonAsad aur @seiko , bacho... yeh mein kia dekh rahan hoon? Abb to mujhay chachu @Aeronaut nay bhe shikayat kee hai. Abb tumm dono barray ho gaye ho, chotay chotay bachay tumm dono say kia sekhain gay?

Apnay liye nahin to choti behan Marshmallow ka to khial karo. :frown:

@RazPaK, mausi musaibtain matt banno.
 
Last edited by a moderator:
.
Status
Not open for further replies.
Back
Top Bottom