Hazaaron khwahishen aisi ke har
khwahish pe dam nikle
Bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle
Daray kyon mera qaatil? kya rahega
us ki gardan par?
Voh khoon, jo chashm-e-tar se umr
bhar yoon dam-ba-dam nikle
Nikalna khuld se aadam ka suntay
aaye hain lekin
Bht be-aabru hokar tere kooche se
hum nikle
Bharam khul jaaye zaalim! teri
qaamat ki daraazi ka
Agar is tarahe par pech-o-kham ka
pech-o-kham nikle
Magar likhvaaye koi usko khat, to
hum se likhvaaye
Hui subaha, aur ghar se kaan par
rakh kar qalam nikle
Hui is daur mein mansoob mujh se
baada aashaami
Phir aaya voh zamaana, jo jahaan
mein jaam-e-jaam nikle
Hui jin se tavaqqa khastagi ki daad
paane ki
Voh ham se bhi zyaada khasta e tegh
e sitam nikle
Mohabbat mein nahin hai farq jeenay aur marnay ka
Usi ko dekh kar jeetay hain, jis kaafir
pe dam nikle
Zara kar jor seene par ki teer-e-
pursitam nikle jo
Wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to
dam nikle
Khuda ke waaste parda na kaabe se
uthaa zaalim
Kaheen aisa na ho yaan bhi wahi
kaafir sanam nikle
Kahaan maikhane ka darwaaza
Ghalib aur kahaan vaaiz
Par itna jaantay hain kal voh jaata tha ke ham nikle
Hazaaron khwahishen aisi ke har
khwahish pe dam nikle
Bohat niklay mere armaan, lekin phir
bhi kam nikle...