Chishti ne jis zamin me paigam-I-haq sunaya
Nanak ne jis chaman me Wahdat ka git gaya
Tatarion ne jisko apna watan banaya
Jis ne hijazion se dasht-e-Arab chhuRaya,
Mera watan wohi hai, mera watan wohi hai.
Yunanion ko jis ne hairan kar diya tha,
Sare jahan ko jis ne ilm-o-hunar diya tha
Mitti ko jiski haq ne zar ka asar diya tha
TurkoN ka jisne daman heeron se bhar diya tha
Mera watan wohi hai, mera watan wohi hai.
toote thay jo sitary, faris k aasmaaN se
phir taab de ke ji ne,chamkaye kehakshaaN se
Wahdat ki lay suni thee duniya ne jis makaaN se
meeer E Arab ko aai Thandi hawa jahan say
mera Watan wohi hai mera WataN woh hai.
bande kaleem jis kai, parwat jahan ki sena
nuhai nabi ka aa kar, tahra jahan safeena
rafat hai jis zameen ki, bamey falak tha zeena
jannat ki zindagi hai,jis ki fiza mei jeena
mera watan wohi hai, mera watan wohi hai x4
-Iqbal
--------------------------------------
Interpretation
This is the land where Chishti preached the message of truth;
Where nanak sang the song of Unity of God;
Where the Tartars made their home.
And enabled the people of Hijaz to leave the deserts of Arabia.
This is my homeland, this is my homeland.
This country surprised the Greeks
And gave knowledge to the whole world;
God made its soil as rich as diamonds,
And it gave to the world priceless treasures,
This is my homeland, this is my homeland.
---------------
Edit: This is not complete. Listen to the entire poem.
Last edited by a moderator: