What's new

Happy belated Birthday Indischer Bhai :D

App sirf bare ke liye he nahi istemaal hotta, tehzeeban bhi istemaal hotta hay... Mein Karachi see hoon.. Bangalore aur Bangaluru mein kya antar hay? Aik he shaher ke doo naam hein meray khayal see. Actually Ravi Shastri pronounces it that way.

Yaar aap Karachiwale Tehzeeb ko kuch zyada hee seriously lete ho. Main khud bata raha hoon na, tum kahiyega bolke.:agree:

Bengalooru humara shahr ka asli naam hai, jaise Kannada me pehle se bola jaata tha. Britishers ko aise pukaar ne me dikkat hoti thi, toh unhone isiliye iska naam badal dala tha- Bangalore karke. Ab humare logon ne unka jaane ke baad 50 saal wait kiya, ki kaheen wapis toh nahi aayenge. Jab confirm hua ki Britishers palat ke nahi aa rahein, toh finally kuch Shahron ka naam unke local form me badal diya.:sarcastic:

Sirf yahee nahi, Mumbai, Kolkata, Chennai etc sab ka yahee qissa hai.
 
Lucknow ki tejzeeb or mehmaan nawazi ki to duniya kayal hai janab :)

waise uske alaya yaha ka Imam bara or chikankari bhi famous hai :agree::agree::agree:

Tehzeeb tau yaqenan mashoor hay.... Per highlighted lafz yahan per ziada passand nahi kiya jata, yahan per issay Imambargah kehtay hein.
 

Country Latest Posts

Back
Top Bottom