dekhen haraam khaya hai agar to kafala bhi kiya hai or azaab se bhi guzren hai
behaisiyat e majmooi qaum maafi maang rahi hai per zer e ghor ye karni wali baat hai kay log chahtay hain kay ek din ailaan ho dosre din gardan kaat di jaye or teesre din doodh ki naddiyan behna shuru hojayen..
koi qawaneen hote hain... kuch usool hote hai...
Sabar ki talqeen jitna karo kam hai per log maante nahi, samajhte nahi.
kuch chahte hain kay hum duniya ki pulsis ban jaeyn..kuch darya firaat per wolf breeding karna chahte hain or kuch hawa kay ayn khilaaf tamboo gaarna chahte hain... ese nahi hoga bhai
jo kaam hikmet or danishmandi se hosakta hai uske liye talwaaren nahi chaiye hoti per koi samjhe to