What's new

Aaj tumhari saalgirah hai.......

Maarkhoor

ELITE MEMBER
Joined
Aug 24, 2015
Messages
17,051
Reaction score
36
Country
Pakistan
Location
Pakistan
Jalti shamein Roshan chehre
Kamni Ladiyaan Nazuk sehray
Nargis,Bela,Motia,Lala
Juhi,Champa aur Banafsha
Har koi Shaad hai naa
Aaj tumhari saalgirah hai
Dekho hum ko Yaad hai na

Hum tou sirf Dua'go log
Khaak o maher ka kya Sanjoug
Paas rahein ya Door rahein
Wehshat se Ranjoor rahein
Mehfil tou Aabaad hai na
Aaj tumhari Saalgirah hai
Dekho hum ko Yaad hai na

Tark e Taaluq khoob kiya
Dil per kari waar saha
Nouch di konpal Chahat ki
Aas na rakhi Raahat ki
Dil meho e Fariyaad hai na
Aaj tumhari Saalgirah hai
Dekho hum ko Yaad hai na

Kaise kaise Khwaab bunay
Rang brange khwaab chunay
Saalgirah ka cake katey ga
Haath pe un ka haath rahe ga
Khwaab har aik barbaad hai na
Aaj tumhari saalgirah hai
Dekho hum ko Yaad hai na.....!!!
 
Back
Top Bottom