What's new

Urdu & Hindi Poetry

Jaa aur koi zabt ki duniya talaash kar
ae ishq hum to ab tere qaabil nahin rahe..

Wo shaks to ik choti si bat pe rout k youn chal dia Faraz
Jasay usay sadion se kisi bahanay ki Talash thi.
 
Koee Umeed Bar Nahin Aatee

Translated by Ayesha Kaljuvee

koee ummeed bar naheen aatee
No hope comes my way
koee soorat nazar naheen aatee
No visage shows itself to me

maut ka ek din mu'ayyan hai
That death will come one day is definite
neehd kyon raat bhar naheeh aatee?
Then why does sleep evade me all night?

aage aatee thee haal-e-dil pe hansee
I used to laugh at the state of my heart
ab kisee baat par naheen aatee
Now no one thing brings a smile

jaanta hoon sawaab-e-taa'at-o-zahad
Though I know the reward of religious devotion
par tabeeyat idhar naheen aatee
My attention does not settle in that direction

hai kuchch 'eisee hee baat jo chup hoon
It is for these reasons that I am quiet
warna kya baat kar naheen aatee?
If not, would I not converse with you?

kyon na cheekhoon ki yaad karate hain
Why should I not remember you?
meree aawaaz gar naheen aatee
Even if you cannot hear my lament

daagh-e-dil gar nazar naheen aata
You don’t see the anguish in my heart
boo bhee 'ei chaaraagar ! naheen aatee
O healer, the scent of my pain eludes you

ham wahaan hain jahaan se hamko bhee
I am now at that point
kuchch hamaaree khabar naheen aatee
That even I don’t know myself

marte hain aarzoo mein marne ki
I die in the hope of dying
maut aatee hai par naheen aatee
Death arrives and then never arrives

kaaba'a kis munh se jaaoge 'Ghalib'
How will you face Mecca, Ghalib
sharm tumko magar naheen aatee
When shame doesn’t come to you



Koi Umeed Bar Nahi Aati -Atribute to Ghalib by Lata Mangeshkar

 
Last edited by a moderator:
Aa Ke Meri Jaan Mein

By Mirza Ghalib
Translated by Ayesha Kaljuvee

aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai
Come that my soul has no repose
taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahin hai
Has no strength to bear the injustice of waiting

dete hain jannat hayaat-e-dahar ke badale
Heaven is given in return for the life of this world
nashshaa baa_andaazaa-e-khumaar nahin hai
But that high is not in proportion to this intoxication

giriyaa nikaale hai teri bazm se mujh ko
Such longing has come from your company
haaye! ki rone pe ikhtiyaar nahin hai
That there is no control over my tears

ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir
Suspecting torment, you are indifferent to me
khaak mein ushshaq ke gubaar nahin hai
So no love resides in these clouds of dust

dil se uthaa lutf-e-jalvaa haye ma_ani
From my heart has lifted the meaning of pleasure
gair-e-gul aaiinaa-e-bahaar nahin hai
Without blossoms, there is no spring in life

qatl kaa mere kiyaa hai ahad to baare
You have pledged to kill me at last
vaaye! agar ahad ustavaar nahin hai
But there is no determination in your promise

tu ne qasam maikashi ki khaai hai 'Ghalib'
You have sworn by the wine, Ghalib
teri qasam ka kuchh aitabaar nahin hai
There is no faith in your avowal

===================================================================

تو خوش رہے تو میں مسکراؤنگا
کہیں بھی ہو تو تجھے نا بھلاؤنگا
میرے گھوم کا تو درد نا لینا
کے اس درد میں بھی میں سکون پاؤنگا
جا کے تو کھوجا ان حسین وادیوں میں
نہ تجھے ان اندھیرے میں بلاؤنگا
تو خوش رہے تو ہی میں جی پاؤنگا
کے اس درد میں بھی سکون پاؤنگا

جا چلی جا دور، اس گھنے کوھرے سے
کھلے آسما میں تیرے گیت گنگناؤنگا
تو خوش رہے تو ہی میں چین پاؤنگا
کے اس درد میں بھی سکون پاؤنگا




Ab dard mein bhi sakoon aata hai!

Tu khush rahe to mein muskuraunga
Kahin bhi ho tu, tujhe naa bhulaunga
Mere ghum ka tu dard naa lena?
Ke is dard mein bhi mein sakoon paunga

Jaa ke tu khoja unn haseen wadiyon mein
Na tujhe in andhere mein bulaunga
Tu khush rahe to hee mein jee paunga
Ke is dard mein bhi sakoon paunga !!!

Jaa chali jaa durr is ghane kohre se
Khule asma mein tere geet gungunaunga
Tu khush rahe to hee mein chain paunga
Ke is dard mein bhi sakoon paunga !!!
 
Unglian Toot Gayee Pathar Tarashtey Huye

Jab Soorat-E-YaAr Bani To Khareedar Agaye !!

________________________________________________

Log Mujhse Mil Kar Bichar Jate Hain.!

Iss Liye Main Logon Se Door Rehta Hon.!

Mat Samjho K Aati Nahi Adaab-E-Mulaqat Mujhe.!

Khuloos Ka Banda Hon Aadat Se Majboor Rehta Hon.!

Jin Se Barha Mera Rabta Gham Hi Mila.!

Ab Rabta Nahi Barhata Bohat Masroof Rehta Hon.!

Log Mujhe Kehte Hain Be'Murawat Aur Khud Ghar'z

Kitne Ache Namon Se Mashoor Rehta Hon.!

Har Waqt Khoye Rehta Hon Khud Ki Talash Main.!

Bohat Thak Gaya Hon Issliye Apno Se
Door Rehta Hoon.!
______________________________________________



crossposting it....

MY PLEASURE !!!
 
Silsilay tor gaya wo sabhi jatay jatay..
Warna itnay to marasim thay k aatay jatay..

Kitna aasan tha tere hijar mein marna jan’na..
Phir bhi ik umar lagi jaan sey jatay jatay..

Us ki woh jane usay pas e wafa tha k na tha..
Tum Faraz apni tarf sey to nibhatay jatay..
 
Dil woh Nagar nahi ke phir Aabad hosakay,
Pachtaoge suno yeh Basti ujaarr kay..

Aakhri Mulaqat Se Mujhko Bas Ye Maloom Hua,,,,
Usay Dushwar Lagta Hai Ab Mujh Se Talluq Rakhna

Maana Ke Ab Aqal Ne Kuch Pukhtagi To Di
Par Woh Mazza Kahan Jo Nadaniyon Main Tha!

Ager kuch na bann para tu duboo doon ga apney aap ko
Mujhey saahil kii qasamm minnat-e-toofaan na karoon gaa!!
 
Zulm Seh Kar Bhi Samjhta Hon
- Mohsin Naqvi Shayari

Mohsin Naqvi

Ghazal
Zulm seh kar bhi samjhta hon k tu mera hai
Mere dushman tere chehre pe lahoo mera hai

Subha dam shehar ki shorish tere dam se hogi
Raat k pichle pehar aalam hoo mera hai

Mere hathon main chupe zakham se pehchan mujhay
Tere daman pe bhi ahsaan rafoo mera hai

Ghir gaya hon main talatum main bhi zindaan ki tarah
Halka-e-mauj rawan touq-e-gulo mera hai

Itni shohrat bhi kahan chahi thi khud se main ne
Apne hi shehar ka har shaks adu hai mera

Dhoop chaaon ki ye rut dil main tehar jane de
Aks tera hai to saaya lab jo mera hai

Patharon se muhabbat mujhay yun bhi hai “Mohsin”
Sangdil shehar main ik aayena ru mera hai
 
I don't know the meaning of "Zihal e Miskin Mukon Ba-Ranjish bahar hijra bechara dil hai" beautiful!

 
Last edited by a moderator:
Ejaaz Hai Kis Ka Ye - Allama Muhammed Iqbal

Dr. Allama Iqbal


Ejaaz hai kis ka ye gardish-e-zamana
Toota hai asia main ye sehar-e-firangana

Tameer aashiyan se main ne ye raaz paya
Ehel-e-nawa k haq main bijli hai aashiyana

Ye bandag Khudaye, wo bandage gadaye
Ya banda-e-Khuda ban, Ya banda-e-zamana

Ghafil na ho khudi se kar apni paasbani
Shayad kisi haram ka tub hi hai aastana

Ay La Illaa K waris, baqi nahi hai tujh main
Guftaar dilbarana, kirdaar kahiraana

Tere nigah se dil senon main kaanpte the
Khoya gaya hai tera jazba-e-qalandarana

Raaz-e-haram se shayad “Iqbal” ba khabar hai
Hain is ki guftugu k andaaz muhrimaana
 
Dil bhi bujha ho sham ki parchaiyan bhi hon
mar jaiye jo aise main tanhaiyan bhi hon

ankhon ki surkh lahar hai mauj-e-suparadagi
ye kya zarur hai ke ab angaraiyan bhi hon

har husn-e-sada lau na dil main utar saka
kuch to mizaj-e-yar main geharaiyan bhi hon

duniya ke tazakire to tabiyat hi le bujhe
bat us ki ho to phir sukhan araiyan bhi hon

pahale pahal ka ishq abhi yad hai ‘Faraz’
dil khud ye chahata hai ke rusvaiyan bhi hon
 
PAYAMBER-E- ZULMAT HOO
JUGNOO SE DARTE HOO

ANDHERE ME RAHTE HOO
ROSHANI SE DARTE HOO

YE JAHAN TOO PURANA HAI
KHOWAB DHAKNE SE DARTE HOO

ZER-E-FALAK RAHTE HOO,
ASMA SE DARTE HOO

SARAAB KE ADI HOO
SAHRA KE SACH SE DARTE HOO

AINA DHAKTE NAHI
KHUD SE DARTE HOO
 
Shaam-e-gham ki sehar nahe hoti……
ho bhe tou mery ghar nahe hoti………
zindagi tou he mukhtasir ho ja……..
shaam-e-gham mukhtasir nahe hoti…….
 

Back
Top Bottom