What's new

Urdu & Hindi Poetry

ajtr

BANNED
Joined
May 25, 2010
Messages
9,357
Reaction score
0
I request members not to degrade this thread with some roadside shayari...contribute some fine shayari by Ghalib etc....


aashiqii be-dilii se mushkil hai
Ahmed Faraz


aashiqii be-dilii se mushkil hai
phir muhabbat usii se mushkil hai

ishq aaGaaz hii se mushkil hai
sabr karanaa abhii se mushkil hai

ham ?? aasaa.N hai.n aur hamaare liye
dushmanii dostii se mushkil hai

jis ko sab be-vafaa samajhate ho.n
bevafaa_ii usii se mushkil hai

ek do duusare se sahel na jaan
har ko_ii har kisii se mushkil hai

[sahel=approachable]

tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar
vaapasii us galii se mushkil hai

---------- Post added at 03:30 AM ---------- Previous post was at 03:29 AM ----------

aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa
Ahmed Faraz


aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa

itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to Dar jaayegaa

[maanuus=intimate; Khilvat-e-Gam=sorrow of loneliness]

tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa

[sar-e-raah-e-vafaa=path of love; baam-e-rafaaqat=responsibility towards love]

zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa

[ataa=gift; baKhshiish=donation; dahaliiz=doorstep]

Duubate Duubate kashtii to ochhaalaa de duu.N
mai.n nahii.n ko_ii to saahil pe utar jaayegaa

[ochhaalaa=upward push]

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa
 
ab ke ham bichha.De to shaayad kabhii Khvaabo.n me.n mile.n
Ahmed Faraz


ab ke ham bichha.De to shaayad kabhii Khvaabo.n me.n mile.n
jis tarah suukhe hue phuul kitaabo.n me.n mile.n

Dhuu.NDh uja.De hue logo.n me.n vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabo.n me.n mile.n

[uja.De=desolated, ruined; Kharaab=bad]

tuu Khudaa hai na meraa ishq farishto.n jaisaa
dono.n insaa.N hai.n to kyo.n itane hijaabo.n me.n mile.n

[hijaab - veil, here it means barrier]

Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar me.n shaamil kar lo
nashaa ba.Dataa hai sharabe.n jo sharaabo.n me.n mile.n

aaj ham daar pe khe.nche gaye jin baato.n par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabo.n me.n mile.n

ab na vo mai.n huu.N na tu hai na vo maazii hai `Faraaz',
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabo.n me.m mile.n

[maazii=past; saraab - illusion, mirage]

---------- Post added at 03:39 AM ---------- Previous post was at 03:38 AM ----------

ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun
Ahmed Faraz


ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun
zaKhm phuulo.n kii tarah mahake.nge par dekhegaa kaun

dekhanaa sab raqs-e-bismal me.n magan ho jaaye.nge
jis taraf se tiir aayegaa udhar dekhegaa kaun

vo havas ho yaa vafaa ho baat maharuumii kii hai
log to phal-phuul dekhe.nge shajar dekhegaa kaun

[maharuum=deprived; shajar=tree]

ham chiraaG-e-shab hii jab Thahare to phir kyaa sochanaa
raat thii kis kaa muqaddar aur sahar dekhegaa kaun

[chiraaG-e-shab=night lamp]

aa fasiil-e-shahar se dekhe.n Ganiim-e-shahar ko
shahar jalataa ho to tujh ko baam par dekhegaa kaun

[fasiil-e-shahar=city wall/boundary; Ganiim-e-shahar=city's enemy]
 
Dost Kya Khub Wafaon Ka Sila Detey Hain
Har Naye Mor Pe Ek Zakhm Naya Detey Hain

Tumse To Khair Ghari Bhar Ki Mulaqat Rahi
Log Sadiyon Ki Rafaqat Ko Bhula Detey Hain

Kaise Mumkin Hai Ki Dua Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jale
Chot Parti Hai To Pathar Bhi Sada Detey Hain

Kaun Hota Musibat Mein Kisi Ka Aey Dost
Aag Lagti Hai To Pate Bhi Hawa Detey Hain

Jin Pe Hota Hai Dil Ko Bharosa Tabish!
Waqt Parne Pe Wohi Log Daga Detey Hain

===================

Youtube video of this song

 
Last edited by a moderator:
Tumhare shaher ka mausam barha suhana lagge..
Main eik shaam chura loon agar bura na lagge..

Joh doobna hai to itne sakoon se doobo
Ke aas paas ki lehron ko bhi pata naa lagay

Tumhare bas mein agar ho to bhul jao mujye..
Tumhe bhulane mein shayad mujye zamana lagge..

Humare pyaar se jalne laggi hai eik duniya..
Duwa karro kissi dushman ki bad duwa na lagge..

Main eik shaam chura loon agar burra na lagge..
Tumhare shaher ka mausam barra suhana lagge..

Jo dub na hai to itne sakoon se dubbo..
Ke *** paas ki lehroon ko bhi pata na lagge..

Kuch is aadha se mere saath bewafai kar..
Ke tere baad mujye koi bewafa na lagge..

Tumhare shehar ka mausam barra suhana lagge…
Main eik shaam chura loon agar burra na lagge…

Youtube video of this song (little bit boring song but has a great poetry)

 
Last edited by a moderator:
jab koi pyar se bulaya ga
jab koi pyar se bulaye ga
tum ko ik shakhs yaad aye ga
lazat-e-gham se ashna ho ker
apne mehboob se juda ho ker
lazat-t- gham se ashna ho ker
apne mehboob se juda ho ker
dil kahin jab sakon na paye ga
dil kahin jab sakon na paye ga
tum ko aik shakhs yaad aye ga
jab koi pyar se bulaye ga
tum ko aik shakhs yaad aye ga
tere lab pe naam ho ga pyar ka
shama dekh ker jale ga dil tera
tere lab pe naam ho ga pyar ka
shama dekh ker jale ga dil tera
jab koi sitara tim tamaye ga
jab koi sitara tim tamaye ga
tum ko ik shakhs yaad aye ga
jab koi pyar se bulaye ga
tum ko aik shakhs yaad aye ga
zindagi ke dard ko saho ge tum
dil ka chain dhondate raho gaye tum
zindagi ke dard ko saho ge tum
dil ka chain dhondate raho gaye tum
zakhm-e-dil jab tumhyen satay ga
zakhm-e-dil jab tumhyen satay ga
tum ko aik shakhs yaad aye ga
jab koi pyar se bulaye ga
tum ko aik sakhs yaad aye ga

Youtube video of this song

 
Last edited by a moderator:
Zindagi Mein To Sabhi Pyaar Kiya Karte Hain
Main To Mar Ke Bhi Meri Jaan Tujhe Chahoonga

Tu Mila Hai To Ehsaas Hua Hai Mujhko
Ye Meri Umr Mohabbat Ke Liye Thodi Hai
Ik Zara Saagame Daura Ka Bhi Haq Hai Jispar
Maine Wo Saans Bhi Tere Liye Rakh Chodi Hai
Tujhpe Ho Jaaoonga Qurbaan Tujhe Chaoonga
Main To Mar Ke Bhi Meri Jaan Tujhe Chahoonga

Apne Jazbaat Mein Nagmaat Rachaane Ke Liye
Maine Dhadkan Ki Tarah Dil Mein Basaya Hai Tujhe
Main Tasavoor Bhi Judaai Ka Bhala Kaise Karoon
Maine Kimsat Ki Lakiron Se Churaaya Hai Tujhe
Pyaar Ka Ban Ke Nigehbaan Tujhe Chahoonga
Main To Mar Ke Bhi Meri Jaan Tujhe Chahoonga

Youtube video of this song (The song is little bit boring)

 
Last edited by a moderator:
The lyrics is written by me as i could not find from internet so forgive me if there is any mistake - Its probably the most romantic song you will ever listen - One of my favourite since childhood and its really amazing

Great lyrics

Sona na chandi naa koi mahal janeman
Tujhko main de sakon ga

Phir bhi yeh wada hai tujhse
tu jo karay pyaar mujhse
Chota sa ghar tujhko don ga
Dukh sukh ka saathi banon ga

Sona naa chandi na koi mahal janeman
Tujhko main de sakon ga

Jab shaam ghar lot aaon ga
Hasti hoe tu milay gi
Mitt jayen gi saari sochain
Bahon main jab thaam le gi

Chutti ka din jab ho ga
Hum khoob ghooma karay ge
Din raat honton pe apne
Chahat ke naghme khilain ge
Bechain do dil milayen ge

Sona naa chandi na koi mahal janeman
Tujhko main de sakon ga

Garmi main jaa ke paharon pe
Hum geet gaya karain ge
Sardi main chup kar lehafon main
Qissay sunaya karain ge

Rut aaye gi jab baharon ki
Pholon ki maala bunain ge
Jaa ke samandar pe dono
Seepon se moti chunain ge
Lehron ki payal sunain ge

Sona naa chandi na koi mahal janeman
Tujhko main de sakon ga

Tankhwa main jab le ke aaon ga
Hathon main teray hi doon ga
Jab kharch hon ge woh paise
Main tujhse jhagra karon ga

Phir aisa ho ga tu mujhse
Kuch dair roothi rahay gi
Sochay gi jab apne dil main
Tu muskara ke barhay gi
Aa-kar galay say lagay gi

Youtube video of this song

 
Last edited by a moderator:

لا الہ الا اللہ

-
(اقبال)

-

خودي ہے تيغ، فساں لا الہ الا اللہ
يہ دور اپنے براہيم کي تلاش ميں ہے
صنم کدہ ہے جہاں، لا الہ الا اللہ
کيا ہے تو نے متاع غرور کا سودا
فريب سود و زياں ، لا الہ الا اللہ
يہ مال و دولت دنيا، يہ رشتہ و پيوند
بتان وہم و گماں، لا الہ الا اللہ
خرد ہوئي ہے زمان و مکاں کي زناري
نہ ہے زماں نہ مکاں، لا الہ الا اللہ
يہ نغمہ فصل گل و لالہ کا نہيں پابند
بہار ہو کہ خزاں، لا الہ الا اللہ
اگرچہ بت ہيں جماعت کي آستينوں ميں
مجھے ہے حکم اذاں، لا الہ الا اللہ خودي کا سر نہاں لا الہ الا اللہ


By Syed Akbar Ali Shah

-

The secret of the Self is hid,
In words “No god but He alone”.
The Self is just a dull-edged sword,
“No god but He,” the grinding stone.

An Abraham by the age is sought
To break the idols of this Hall:
The avowal of God’s Oneness can
Make all these idols headlong fall.

A bargain you have struck for goods
Of life, a step, that smacks conceit,
All save the Call “No god but He”
Is merely fraught with fraud and deceit.

The worldly wealth and riches too,
Ties of blood and friends a dream
The idols wrought by doubts untrue,
All save God’s Oneness empty seem.

The mind has worn the holy thread
Of Time and Space like pagans all
Though Time and Space both illusive
“No god but He” is true withal.

These melodious songs are not confined
To Time when rose and tulip bloom
Whatever the season of year be
“No god but He” must ring till doom.

Many idols are still concealed’
In their sleeves by the Faithful Fold,
I am ordained by Mighty God
To raise the call and be much bold.

Youtube video of this Allama Iqbal's poetry

 
Last edited by a moderator:
Ya Rab Dil e Muslim Ko Woh Zinda Tamana Day – Kalam-e-Iqbal

یا رب! دل مسلم کو وہ زندہ تمنا دے
جو قلب کو گرما دے ، جو روح کو تڑپا دے
پھر وادی فاراں کے ہر ذرے کو چمکا دے
پھر شوق تماشا دے، پھر ذوق تقاضا دے
محروم تماشا کو پھر دیدئہ بینا دے
دیکھا ہے جو کچھ میں نے اوروں کو بھی دکھلا دے
بھٹکے ہوئے آہو کو پھر سوئے حرم لے چل
اس شہر کے خوگر کو پھر وسعت صحرا دے
پیدا دل ویراں میں پھر شورش محشر کر
اس محمل خالی کو پھر شاہد لیلا دے
اس دور کی ظلمت میں ہر قلب پریشاں کو
وہ داغ محبت دے جو چاند کو شرما دے
رفعت میں مقاصد کو ہمدوش ثریا کر
خودداری ساحل دے، آزادی دریا دے
بے لوث محبت ہو ، بے باک صداقت ہو
سینوں میں اجالا کر، دل صورت مینا دے
احساس عنایت کر آثار مصیبت کا
امروز کی شورش میں اندیشۂ فردا دے
میں بلبل نالاں ہوں اک اجڑے گلستاں کا
تاثیر کا سائل ہوں ، محتاج کو ، داتا دے!

——————————————
Ya Rab)
(Ya Rab)

Ya Rab
Dil-e-Muslim Ko
Woh Zinda Tamanna Day

Ya Rab
Dil-e-Muslim Ko
Woh Zinda Tamanna Day

Ya Rab
Dil-e-Muslim Ko
Woh Zinda Tamanna Day

Jo Qalb Ko Garma Day
Jo Rooh Ko Tadpa Day

Ya Rab
Dil-e-Muslim Ko
Woh Zinda Tamanna Day

Jo Qalb Ko Garma Day
Jo Rooh Ko Tadpa Day

Ya Rab
Dil-e-Muslim Ko
Woh Zinda Tamanna Day

Phir Vadi-e-Bara Kay
Har Zarray Ko Chamka Day

Phir Vadi-e-Bara Kay
Har Zarray Ko Chamka Day

Phir Shok-e-Tamasha Day
Phir Zok-e-Taqaza Day

Ya Rab
(Ya Rab)

Ya Rab
(Ya Rab)

Ya Rab
Dil-e-Muslim Ko
Woh Zinda Tamanna Day

Jo Qalb Ko Garma Day
Jo Rooh Ko Tadpa Day

Ya Rab
Dil-e-Muslim Ko
Woh Zinda Tamanna Day

Is Daur Ki Zulmat Main
Har Qalb-e-Paresha\'n Ko

Is Daur Ki Zulmat Main
Har Qalb-e-Paresha\'n Ko

Is Daur Ki Zulmat Main
Har Qalb-e-Paresha\'n Ko

Woh Daag-e-Mohabbat Day
Jo Chaand Ko Sharma Day

Ya Rab
(Ya Rab)

Ya Rab
(Ya Rab)

Ya Rab
Dil-e-Muslim Ko
Woh Zinda Tamanna Day

Jo Qalb Ko Garma Day
Jo Rooh Ko Tadpa Day

Ya Rab
Dil-e-Muslim Ko
Woh Zinda Tamanna Day

Mehroom-e-Tamasha Ko
Phir Deeda-e-Beena Day

Mehroom-e-Tamasha Ko
Phir Deeda-e-Beena Day

Dekha Hai Jo Kuch Mainay
Auron Ko Bhi Dikhla Day

Ya Rab
(Ya Rab)

Ya Rab
(Ya Rab)

Ya Rab
Dil-e-Muslim Ko
Woh Zinda Tamanna Day

Jo Qalb Ko Garma Day
Jo Rooh Ko Tadpa Day

Ya Rab
Dil-e-Muslim Ko
Woh Zinda Tamanna Day

Jo Qalb Ko Garma Day
Jo Rooh Ko Tadpa Day

Ya Rab
Dil-e-Muslim Ko
Woh Zinda Tamanna Day

Ya Rab
(Ya Rab)


————–
English Translation
O Lord! To the Muslims heart grant that live Longing
Which may warm the heart, which may restlessness to the soul grant

Again brighten up every speck of dust of the Valley of Faran
Again Longing for the Spectacle, taste for the asking grant

Again to the one deprived of the Spectacle the discerning eye grant
Whatever I have seen, to others also its sight grant

Again guide the strayed away deer towards the Haram
To the one addicted to city, vastness of wilderness grant

Again in the forlorn heart create the Last Days tumult
Again to this empty camel-litter the lover of Lailah grant

In the darkness of this age to every perturbed heart
That mark of Love which may embarrass the moon grant

In elegance raise the Muslims goals to the level of Thurayyah
Self-respect of the ocean, freedom of the sea shore grant

Love should be pure, candor fearless should be
Grant Light to hearts, hearts like crystal grant

Grant the feeling for signs of the calamity
In todays tumult concern for tomorrow grant

I am the wailing nightingale of a ruined rose garden
I am the supplicant for acceptance, O Benevolent one alms to the beggar grant

Youtube videos of this Iqbal's poetry

 
Last edited by a moderator:
self delete - taste badal chuka hai in 2 years
 
ajtr poetry kahan hai - song to shayr kar diya - that you could in that songs thread also

please share the lyrics/poetry also :)
 
Poet: Allama Iqbal

Utho meri dunyA ke gariboN ko jagA do

KAkh-e-umrA ke dar-o-deewAr hilA do

Jis khet se dehkAN ko muyassar na ho rozi

Us khet ke har khosha-e-gandam ko jalA do

====================

Rise and rouse my world’s wretched ones

Shake fiercely the palaces of the rich ones

Scorch every cluster of wheat in the field

That denies livelihood to the tilling ones
 


---------- Post added at 05:12 AM ---------- Previous post was at 05:11 AM ----------

 
Last edited by a moderator:
ajtr poetry kahan hai - song to shayr kar diya - that you could in that songs thread also

please share the lyrics/poetry also :)
*** is down today and im not in mood to type now.....
 

Back
Top Bottom