What's new

Urdu & Hindi Poetry

wats the problem with the pages :hitwall: :hitwall:
its not opening :cry:

Rahim! apna paani(apni izzat) bacha ke rakho, bina paani(izzat) ke sab kuch soona,
agar paani na ho to moti, insaan aur choona nahi banta.

moti se murad ?

Rahim! apna paani(apni izzat) bacha ke rakho, bina paani(izzat) ke sab kuch soona,
agar paani na ho to moti, insaan aur choona nahi banta.

samaj mein ah gaya thanks....
 
Mulla ko jo hai Hind mein sajdei ki ijazaat

Nadaan yeh samajhta hai ke Islam hai azad

I LOVE ALLAMA SAHAB FOR HIS MASTERY OVER WORDS. NEVER SEEN ANY RELIGIOUS PHILOSOPHY SO READABLE & SO SWEET TO HEAR.

NO WORDS CAN PRAISE OR DEFINE ALLAMA IQBAL SIR, SAYING HIM A AZEEM-SHAYAR OR GREAT PHILOSOPHER IS LIKE HONOURING THOSE WORDS.

CHECK HIS FEW GEMS :----

________________________________________________________________________
"Jo Main Sar Basajda Hua Kahin
To Zameen Se Anay Lagi Sada...
Tera Dil Tu Hai Sanam Aashna
Tujhe Kya Milega Namaz Mein."
________________________________________________________________________

"Baat Sajdon Ki Nahi Khuloos-E-Niyat Ki Hoti Hey Iqbal
Aksar Log Khali Hath Lout Aatay Hain Har Namaz Kay Baad"

_________________________________________________________________________

"Masjid To Bana Dali Shab Bher May Eman Ki Harart Waalo Na..
Man Apna Purana Papii Hai Barsoo Mein Namazi Ban Na Saka"
__________________________________________________________________________

(Allama Iqbal)

aadatan tum ne kar diye vaade
Gulzar

aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne aitabaar kiyaa

terii raaho.n me.n baarahaa ruk kar
ham ne apanaa hii intazaar kiiyaa

ab naa maa.Nge.nge zindagii yaa rab
ye gunaah ham ne ek baar kiyaa

Ye Na Thee Hamaaree Qismat Ke Wisaal-E-Yaar Hota
Agar Aur Jeete Rehte Yahee Intezaar Hota

Tere Waade Par Jiye Ham To Ye Jaan Jhoot Jaanaa
Ke Khushee Se Mar Na Jaate Agar Aitabaar Hota

(Mirza Ghalib)
 
Ishq ki munzill mein Ae Ghafill tu sajdee sae na chouk
Der O Musjid Ka'aba O Butkhana charoon aik hein

==========================================

Kon se Ja hae jahan Jalwa E Mashoq nahin
Shouq E dedarr agar hae to nazar paida kar
 
Befaiz ha khud apne haq mein tu phir badal barasta kyoon ha
Khiloney bechney waley ka beta khilone ko taarasta kyoon ha

Zindagi Ek Dukaan Khilono’n Kii…….
Waqt Ek Bigraa Huwa Sa Bachcha Hai……!!!

Ishq ki munzill mein Ae Ghafill tu sajdee sae na chouk
Der O Musjid Ka'aba O Butkhana charoon aik hein

==========================================

Ajab Tamasha-E- Ishq Dekha ELAAHI Teri Duniyaa
Tere Hi Ek Banday Ne Teri Yaad Se Ghafil Kar Diya!!

Kon se Ja hae jahan Jalwa E Mashoq nahin
Shouq E dedarr agar hae to nazar paida kar

Mujh Ko Maloom Nahi Husn Ki Tareef Magar...
Meri Nazar Mein Haseen Wo Hai Jo Tujh Jaisa Hai
 
Aankh Par Num Dil Hairaan-O-Pareshan Hai Ab Tak Mohsin,

Ke Itni Tez Barish Mein, Mera Aashiyana Jala Kaise..??

Wo Acha Hai To Acha Hai’ Bura Hai To,
Bhi Acha Hai
Mizaaj_E_Ishq Mein Aieb_E_Yaar Dekhe
Nahi Jate..!

Tum Bhi Achay Tumhaare Raqeeb Bhi Achay
Bure Tou Hum Hain Jin Ka Guzaara Nahi Hota Tum Bin..!!
 
Darya ka kinara tha......Zoulfou'n ka nazara tha,

Qareeb ja kar dekha tu....Eik Sikh naha raha tha.
----------------------------------------------------------

Chilman mein unko dhekha tu, dil sey eik ah nikli,

Ghounghat jo uthaya tu, sali kali siya nikli. :D
 
Zahid Sharab Peene Dy Masjid Mein Beth Kar,
Ya Wo Jagah Bata Jahan Per Khuda Na Ho

(GHALIB)
==============================

Masjid Khuda Ka Ghar Hai Peene Ki Jagah Nahi,
Kafir K Dil Mein Ja Wahan Khuda Nahi

(IQBAL)
==============================

Kafir K Dil Se Aaya Hoon Mein Ye Dekh Kar,
Khuda Mojood Hai Wahan, Magar Usay Pata Nahi

(FARAZ)

Bade armaano se khola tha maine yeh thread
Apni sadak chhaap shayari isse barbad to na kar zalim
 
Zahid Sharab Peene Dy Masjid Mein Beth Kar,
Ya Wo Jagah Bata Jahan Per Khuda Na Ho

(GHALIB)
==============================

Masjid Khuda Ka Ghar Hai Peene Ki Jagah Nahi,
Kafir K Dil Mein Ja Wahan Khuda Nahi

(IQBAL)
==============================

Kafir K Dil Se Aaya Hoon Mein Ye Dekh Kar,
Khuda Mojood Hai Wahan, Magar Usay Pata Nahi

(FARAZ)
==============================

@ Excellent S.U.R.B

Hooron Ki Talaab Aur Mai-O-Saagar Se Hai Nafrat
Zahid Tere Irfaan Se Kuch Bhoool Howiii Hai ...!!!!
 
Zindagi Yun Thi Ke Jeene Ka Bahana TU Tha
Hum Fakat Zaib e Hikayat The Fasana TU Tha

Humne Jis Jis Ko Bhi Chahaa Tere Hijra Mein Wo Log
Aaate Jaate Hue Mausam The Zamana TU Tha

Ab Ke Kuch Dil Hi Na Maana Ke Palat Kar Aatey
Varna Hum Dar Badaron Ka Thikana TU Tha

Yaar O Aaghyaar Ke Haathon Mein Kamaaney Thin FARAZ
Aur Sab Dekh Rahe The Ki Nishaana TU Tha

-----------------------------------------------

Yuun nahin k Teri Yaad se Ghafil ho koi Pal
Kabhi kabhar magar Jaan pe ban aati hai ....

-------------------------------------

Huma wakt Lubhana aur Tarpana
Sard Hawaon ki Fitrat bhi mere Yaar c hai ...

-------------------------------------

Kis kadar Dil-kash hai Khamoshi uski
Har baat be-mutlab ho jaisey ...

-------------------------------------

Khusro darya prem ka, ulti wa ki dhaar
Jo utra so doob gaya, jo dooba so paar

--------------------------------------
 
Kiss liya abb uddas bethi hoo

mein ne kab yea socha tha

Last edited by a moderator:
-----------------------------------------------

Yuun nahin k Teri Yaad se Ghafil ho koi Pal
Kabhi kabhar magar Jaan pe ban aati hai ....

-------------------------------------

Goya Tumhari Yaad Hi Mera Ilaaj Hai ...
Hota Hai Pahron Zikr Tumhara Tabib Se..!!
[ Poet : Aga Hashr ]

--------------------------------------
Huma wakt Lubhana aur Tarpana
Sard Hawaon ki Fitrat bhi mere Yaar c hai ...

-------------------------------------

Hawa Jab Sard Patton Ko Juda Shakhon Se Karti Hai,
To Humain Tum Se Bichar Jana Bhut Yaad Aata Hai ....

Kis kadar Dil-kash hai Khamoshi uski
Har baat be-mutlab ho jaisey ...

-------------------------------------

Check bolded Part

Uski Baatein To Phool Hon Jaise,
Baki Baatein Babul Ho Jaise,

Choti Choti Si Uski Wo Akhe,
Do Chameli Ke Phool Ho Jaise,

Uski Haskar Nazar Zhuka Lena,
Sari Sharte Kubul Ho Jaise,

Kitni Dilkash Hai Uski Khamoshi,
Sari Baten Phijul Ho Jaise
 
Latest posts

Back
Top Bottom