What's new

People who recently gave ISSB test

And what did you answered to thez questions? i just want to have an idea there still a year before i give my test so just increasing knowledge
Psych ke question ka answer ye dia ke mam i will be satisfied ke mene mehnat ki he aur uska reward mjhy kisi na kisi surat main milega, dosra ager wo mere group mate he aur use sara credit mila he to as a group partner mjhy b kuch credit milega but wo b na mile to i will still be satisfied because i did my work.

Deputy ke 1crore wale question ka =

Sr apni university ki fees dnga, abbu ko gari leke dnga kyoonke wo thand main bike pe office jaate, gher ka kuch kaam kraonga he asked kia kaam kraoge i said glass wall lgaonga in gallery for insulation purposes .. explained it a bit.. then i said ke kuch ghareebun main donate krdnga aur baqi apne abbu ko de dnga.

Bazaar main takkar wale question ka =
Use smjhaonga ke ghalti se taker lgi he mene jaan bhoj ke nae mari
He said ager aap smjha rhe hun aur wo phr se thapad mar de to\
I said sir main sakhti se mana krnga.
he said aap mana kr rhy hn aur wo apki shilwar utar de to
I said Sir meri marzi ke baghair meri koi shilwar nae utar skta
He said wo utarne lga he to phr .. kia karoge..
I said Main use rukunga sir I will restrain him.

Btw if u go for issb don't repeat my answers give your own because ur answers must match your personality not others. Be realistic and give realistic answers. When they give u a situation, imagine it and u will know in your mind that what will u do so tell them that.
 
Okay thanks a lot mate!
 
Yes if you can. I have one year before my armu test and i just want to increase knowledge. Anything you want to tell and any tips shall be appreciated
⚫14 Points
#Must_Must_Read
#Reason_For_Recommendation_andNR
Aik Q biht hota ke hum issb me recommend nahi huwa is ke reasons kya hain.Is ka to candidate ko khud nahi pata hota ke hum kyon not recommend huwa baqi andaza par dunya per qaim kar lete hain.But Issb ka board ke jo points jin ko dekh kar wo recommend or not recommend karta hain wo 14 Qualitities hain jo ab hum disscuss karte jin ko apne ap me develop karna ke koshish kiya karein.So lets start..
In Qualities ko 3 catagories me divide kiya gaya hai jo First Category hai wo hai Must Quality ye Qualities ka content chahe thora ho per ap me ho zaroor.So first..
1.⛔planning ability
Ap ko apne ap ko judge karna kya ap me planning ability hai ya nahi.Like e.g hamara ghar kisi ke shadi ho hum fazool plannings karte hain us ko bolae ge ye shoes pehne gen ya ye kapra but kya apna serious cheez per planning ki ke ap apne ap ko kya dekhna chahye hain.Like ab ye page hai ap is ke comments check karein sir us din mere issb hai me tayari kya karon.like that etc issb sirf notes parh lene se clear nahi ke ja sakti kuch charachterstics hon ap me chahe content thora ho.
So next Responsbility...
2.⛔Responsiblity
Ab ye quality ap me ha ya nahi lekin jab tak ap ye develop nahin karen ge to issb clear nahi kar sakte ap me sense of responsibilty jab tak nahi hogi to..nR.E.g dekh lein hum me se kitna hain jo subha uth kar apna bistar hi seedha karte hain??
3.⛔Emotional stabily
Ab ye emotional stability kya ham apne emotions ko stable rakh sakte hain like agar apko koi gali de ya thaper mare ap to shru ho jao ya dil dil me galiyan do ge.
4.⛔Courage.
Courage ap ke issb me tab dekhi jati hai jab ap monkey bridge or individual obstacle karte hain ke ap me kitna hosla hai.
5.⛔Determination.
Is me apki determination pukhtagi check karte hain ke ap kitna determined ha us force ko join karne me.Mostly log determined hote hain lekin kucb pension or asa hi apply karte hain or har jaga hi apply kar rahe hote hain
6.⛔Integrity
Ap kitne izzat dar hain or kya ap apne waqar ka khayal hai ya asa he...hain
Then 2nd category should qualities hain jo ap me hon ya na hon agar hain to achi baat hai agar nahin hai to kakul me apko aik teer ke tarha seedh kar ke ye qualities daal di jaen ge.
7.⛔Social relations.
Ap ke social relations kaise hain..ye ap apne ap ko behtar judge kar sakte hain kya ap rude hai socially ya cooperative hain.
8.⛔Initiative
Ap kya initiative le sakte hain agar al me kisi se larai ho or ap ki ghalti ho kya ap us se sorry karein ge agar ghalti kisi ke bhi ho kya ap sorry keh sakte hain idhar mostly logon ka ego problem ho jata hai.
9.⛔Practical ability
Ka ap kitne practical hain kya ap apne kahi hue baat ko amli jama pehname ke ability rakh te hain ya nahi.
10.⛔Influencing personality
Ap ka charachter kitna pur asar hai ka ap ki baat man le jaye.Kya ap kisi ko influence kar sakte hain.
Now 3rd Category Could charachterstics jo ap me hon na hon per kakul wale develop kar dein ge.
1.⏳General awareness.
Kya apko general awareness hai waisa mere khayal me ap logon me general awareness.or General knowledge lazmi hone chahyen.But agar apki GK weak hai to is per not recommendation nahi ho sakte.
2.Expression.
Ye bhi charachter hai ke different situation me ap ke expression.
3.Physical Ability.
Ap physically kitne strong hain.But weak hain koi masla nahi is base per ap not recommend nahi ho sakte.
14.Self confidence.
Ke ap kitna self confident hain...
Recommended candidates me in ka content zada hota hai so wo clear kar jata hain.
#best_of_Luck
 
Thanks a lot. God bless you mate!
 
Back
Top Bottom