What's new

Panama leak Case Proceedings - JIT Report, News, Updates And Discussion

Status
Not open for further replies.
[emoji38][emoji38][emoji38] Ye tu theek kaha...aap ne [emoji38]
Main tu faisla sunn kar hi uthtii..wahan se [emoji38] Aur agar pasand ka na hota...tu 2-4 naseehatein main bhi kar deti wahan par......[emoji38]
Lol. Chaie judge contempt laga ker jail bhaj deta? Waisa by any chance have you seen movie Rustom? Us main be aik scene ha Jo tumhari last line sa yaad ahh gaya.
By the way I never encourage or recommend anyone to see Indian movie nor am I a fan, your post made me laugh and the whole scene of the movie came in front.
 
:lol::lol: Main bhi sochti baad main ke kia impact hosakta hai...karti pehle:lol: Sab se pehlay tu judge Sb ke aatay hi pehlay kehti...ke sir...abhi idhar udhar ki baatein nahi...pehle kaam ki baatein:lol: Faisla kahan hai aur kab aaraha hai? :lol: Phir dheet logon ki tarah (kiya sirf shareef family hi dheet hosakti hai? :( ) waheen shuru hojati...karti bhtt tameez ke andaz main..ke judge sb ko ziada bura bhi na lagay..ke sir..ab bhtt hogaya..plz ab aur intezar nahi horaha....ab faisla sunaa hi dein ..1-2 ahadith ka reference bhi de deti.....ab Ahadith sunanay par tu contempt laganay se rahay :lol::lol:

Haayyee... Kaash... :( main hoti wahan par :( ya mere jaisa koi aur :( abh tak atleast date tu pata chal hi chuki hoti, humein :(

Nahi...woh movie tu nahi dekhi... Kia tha...us scene main?
 
Nahi...woh movie tu nahi dekhi... Kia tha...us scene main?
Lol you must than. There is a court proceeding going on and a reporter just say was inspired in the same way as you are lol. Rest i leave it to your imagination or better yet if you watch it.
 
Hopefully next week ke mid tak verdict aa hi jaye.... I really hope soo..

I dont know...ye kis case ke reference main keh rahay hain..but

Acha ..ye kisi function main adress karrahay hain.. Aur lower courts k judges ko naseehat karrahy hain...

Uncle....phir jaldi faisla sunaa dein na? Intezar kis baat ka hai? Koi ungli nahi uthaye ga phir aap par... Aap kiun logon ko baatein bananein ka mauqa de rahay hain? :(

Main tu kehti hoon ke jahan ye address karrahay hain...wahan ki audience inhein pakar le..aur date nikal waa kar hi rahay ke aakhir kab panama ka faisla de rahay hain? Kaash main audience main hoti wahan par :(

Woh jo document share kia tha...Us document se kia lagta hai? Us main Justice Khosa ne apni judgment main tv interviews ke bhi reference diye hain.. Matlab he gives importance to them too.. Its good news for us, right?
Kia lagta hai..woh order..parh kar? Justce khosa koi strong verdict, panama case main bhi dein ge?

Dekhain, interviews ka tou zaroor zikar hoga. Lekin main aik baar phir judges ki soch yahan rakhta hun.. Judges kahaingay ke NS ne aik baat ki parliament main, unn ki aulaad ne doosri baat ki interviews main, phir qatari khat (jo kay aulad ne submit kia tha) main teesri baat saamnay aayi.. Abb kaun sacha hai aur kaun jhoota, yeh baghair tehqeeqat ke nahi maloom hosakta..

Aap samjhain,
(1) wazeer e azam ko jhoota sabit karnay ke liey Qatari khat ka, ya mossack fonseca ke docs sahi sabit hona zaroori hain..
(2) Qatari khat ko sach ya jhoot sabit karne ke liey mossack fonseca ke documents ka sahi sabit hona zaroori hai..
(3) mossack fonseca ke documents ko sacha sabit karnay ke liey investigation ki zaroorat hai (jo kay iss adalat ne nahi ki, because it wasn't a trial court)
(4) investigation ke liey idaron ki independence hona zaroori hai (jo kay NAB chairman ke bayaan ke baad khatam nazar aayee)
(5) idaron ki independence ke liey wazeer azam ka suspension zaroori hai (Kyunke chairman NAB ne regulator ka zikar kardia)

Tou agar TV interviews ko bhi refer kia gaya woh mazeed investigation ke haq main refer kia jaega..

Main phir kehta hun.. Chairman NAB qaum pe buhat bara ehsaan kar gaya.. Jab tareekh likhi jaegi tou likha jaega ke Shareef KHandaan ko marwanay main sab se bara haath Chairman NAB ka tha jis ne kaha ke woh regulator ki ijazat ke ilawa koi karwai nahi karsakta, uss ke haath bandhay huay hain..
 
:lol::lol::lol::lol: Ab #ThankyouChairmanNAB trend shuru kiya jaye? :lol::lol:
 
:lol:
Agar Shareef Khandaan ko deep fry karna hai tou yeh trend buhat zabardast rahega..

Logon ko abhi andaza nahi hai, ke kia kaam kargaya hai chairman.. :)

Chairman NAB zindabad... :lol::lol:

Kia humari zindagi main faisla aajayega? :(

Reh reh kar afsos horaha hai ke aaj jahan Justce Khosa address karrahay thay...wahan audience mein, main kiun mojood nahi thee? :( ya mere jaisa koi aur, jo atleast date tu nikal waa kar hi aata unn se :( kisi ne unn se nahi poocha ke..sir...faisla kahan hai? :(
 
Faisla buhat ziada mehfooz hai.. :lol::lol:

Aajaega faisla.. Yahan kisi ne aik movie ka clip post kia tha.. mujhay justice khosa yaad aagaey woh clip dekh kar..

Mujhay lagta hai India ne yeh film Panama case ko mad e nazar rakh kar banai hogi, ya Justice khosa yeh clip dekh kar himmat pakraingay..
 
Sirf panama ka faisla hi mehfooz hai :( baqi tu kuch yahan mehfooz nahi :(

BAS.... Ab agar wednesday tak faisla na aaya tu...dharna de dena chahye SC k aagay... :(

Justice Khosa functions se address kiye jarahay hain...ye nahi ke faisla de kar jaan churayein apni, pehle :( Aur phir keh bhi rahay hian kr judges imaandari se kaam karein tu koi ungli nahi uthaayega..:rolleyes:. Phir intezar kis cheez ka hai? Jaldi se faisla de dein tu koi ungli nahi uthaayega :( lekin le kar bethay huay hain, faisla :(

Lekin phir bhi pata nahi...kiun? Justice Khosa ke baaray main koi ghalat baat nahi sochi jaa rahi mujh se...ke woh garbar karrahay honge.. umeed tu unn se abhi tak mujhe achi hi hai... Lekin ab bhtt hogaya... Unka bhi farz hai ke jaldi karein..jab pata hai ke sab intezar karrahay hain :(
 
23rd march tak wait karlain.. lekin phir april fool wala din bhi aajaega... uss kay guzarnay ka bhi wait karna parega warna log kahaingay SC ne fool banaya hai..

Khair on a serious note, mujhay justice khosa se kuchh ziada ummeedain nahi raheen.. Aap ko hongi ummeedain, lekin mujhay woh aik buzdil shakhs lagay..

jo aadmi mukhtalif wajoohaat ki bina par faisla delay karta hai, chahay uss ki wajah koi bhi ho, uss se imandari ki tawwaqa rakhna bekaar hai..

Inn kay faislay ke intezaar main punjabi pakhtoon divide paida ho gaya.. aur kis baat ka wait kar rahay hain yeh judge?

aur main iss uzr ko nahi maanta ke faisla taweel hai iss liey masla hai, short order pehlay week nikal sakta tha.. jo ke jaan boojh kar nahi nikaala.. sirf iss liey ke mulk main afra tafree phailay?

laanat bhejta hun main aisi bench par jo iss rotten system ki asal wajah hain..
 
Khair on a serious note, mujhay justice khosa se kuchh ziada ummeedain nahi raheen.. Aap ko hongi ummeedain, lekin mujhay woh aik buzdil shakhs lagay..

jo aadmi mukhtalif wajoohaat ki bina par faisla delay karta hai, chahay uss ki wajah koi bhi ho, uss se imandari ki tawwaqa rakhna bekaar hai..

Nahi... Mujhe Justice Khosa buzdil nahi lagtay... Mera nahi khyal ke aisi koi baat hai... Aur kherr mujhe unki imaandari par tu bilkol shak nahi hai...

Kia pata..ke waqayi faisla abhi poora likha nahi gaya ho? Jahan tak short order ki baat hai...mera khyal hai ke jab hearing conclude hui thee...tab tak judges khud bhi poori tarah clear nahi thay ke kia karna hai? Unhon ne khud kaha tha ke har zaawye se case ko dekhna hai....tu is liye short order nahi de rahay.... Justice Wajihuddin bhi keh rahay thay ke jab hearing ke baad files waghera kholtay hain...tu kabhi kabhar faisla badal bhi jata hai...

Waisy abhi tu main Justice Khosa ki bhtt side le rahi hun...kia pata ke main hi baad main badal jaoun..aur unke against baat karrahi hon :( mera bhi kia bharosa ke main bhi uturn le loon :(

Waisy abhi tak tu mujhe unn ki niyat par atleast bilkol shak nahi hai... Haan agar next week bhi faisla na aaya..tu phir hosakta hai ke meri soch badal jaye...aur mujhe bhi koi garbar nazar aaye :rolleyes:
 
Main tou apni baat par qaim hun..
Main ne kaha tha ke agar Friday tak faisla na aaya tou main panic mode main chala jaunga and I have strong reasons.
Short order aik haftay main likha jasakta tha.. jab yeh judge arguments sunn rahay thay, usi waqt inhain andaza tha ke kia faisla dena hai..
poori duniya main ghoom phir kar logon ko lecture dene ka time hai, lekin faisla ke upar, jo ke pooray mulk ka sab se important case hai, iss ko final karnay ka time nahi hai.. main agar hota tou rozana kam se kam 20 ghantay kaam karta... mulk ki halat inhain nazar nahi aarahi ? assemblies main sectarian divide hogaya hai, logon ki behnain, betiaan mehfooz nahi raheen inn pmln ke ghundon ke haathon.. aur yeh saari duniya main address kartay phir rahay hain..
khair, Last sunday, it was ready to be issued. aap yaqeen karain ya na karain..
 
khair, Last sunday, it was ready to be issued. aap yaqeen karain ya na karain..

Last Sunday...ready to be issued? Really???? Phir kia wajah hui? Aap tu mera bhi unn bhi yaqeen khatam karaa rahay hain...aur aap ko pata hai..mujhe power corridors main logon pat itni asaani se yaqeen nahi hota..shak hi rehta hai, mujhe tu inn logon par... Lekin pata nahi...Justice Khosa par mujhe bhtt yaqeen tha...

Last Sunday..ko faisla tayyar tha..poora?? Are u sure?? Matlab poora week guzar gaya.... Kia wajah hosakti hai, delay ki?? Lets wait till tuesday... Dekhtay hain...kia hota hai? :( agar tuesday tak bhi na aaya, tu :( phir main bhi suspicious hojaun gi, Justice khosa par :(

Humein tu yeh bhi nahi pata..ke pehle notification se batayein ge..ke kab faisla aayega ya bas achanak?
 
Status
Not open for further replies.

Pakistan Affairs Latest Posts

Back
Top Bottom