What's new

MY FAVOURITE POETRY FOR MUSLIMS BY ALLAMA IQBAL

pk_baloch

FULL MEMBER
Joined
May 2, 2012
Messages
1,340
Reaction score
1
Wataniat

(Yani Watan Bahesiat Aik Siasi Tasawwur Ke)

PATRIOTISM
(As a Political Concept)

Iss Dour Mein Mai Aur Hai, Jaam Aur Hai Jam Aur

Saqi Ne Bina Ki Rawish-e-Lutf-o-Sitam Aur


In this age the wine, the cup, even Jam is different
The cup‐bearer started different ways of grace and tyranny


Muslim Ne Bhi Tameer Kiya Apna Haram Aur
Tehzeeb Ke Azar Ne Tarshawaye Sanam Aur


The Muslim also constructed a different harem of his own
The Azar of civilization made different idols of his own


In Taza Khudaon Mein Bara Sub Se Watan Hai
Jo Pairhan Iss Ka Hai, Woh Mazhab Ka Kafan Hai

Country, is the biggest among these new gods!
What is its shirt is the shroud of Deen (Religion)


Ye But Ke Tarashida-e-Tehzeeb-e-Nawi Hai
Gharatgar-e-Kashana-e-Deen-e-Nabwi Hai

This idol which is the product of the new civilization
Is the plunderer of the structure of the Holy Prophet’s Deen (Religion)

Bazu Tera Touheed Ki Quwwat Se Qawi Hai
Islam Tera Dais Hai, Tu Mustafavi Hai


Your arm is enforced with the strength of the Divine Unity
You are the followers of Mustafa, your country is Islam

Nazzara-e-Dairina Zamane Ko Dikha De
Ae Mustafavi Khak Mein Iss **** Ko Mila De!


You should show the old panorama to the world
O Mustafaa’s follower! You should destroy this idol


Ho Qaid-e-Maqami To Nateeja Hai Tabahi
Reh Behar Mein Azad-e-Watan Soorat-e-Mahi


The limitation to country results in destruction
Live like the fish in the ocean free from country

Hai Tark-e-Watan Sunnat-e-Mehboob (S.A.W.)-e-Elahi
De Tu Bhi Nabuwwat Ki Sadaqat Pe Gawahi


Renouncing the country is the way of the God’s Beloved (PBUH)
You should also testify to the Prophethood’s Truth by similar action


Guftar-e-Siasat Mein Watan Aur Hi Kuch Hai
Irshad-e-Nabuwwat Mein Watan Aur Hi Kuch Hai

In political parlance country is something different
In Prophet’s command country is something different


Aqwam-e-Jahan Mein Hai Raqabat To Issi Se
Taskheer Hai Maqsood-e-Tajarat To Issi Se

The antagonism among world’s nations is created by this alone
Subjugation as the goal of commerce is created by this alone

Khali Hai Sadaqat Se Siasat To Issi Se
Kamzor Ka Ghar Hota Hai Gharat To Issi Se

Politics have become bereft of sincerity is by this alone
The destruction of the home of the weak is by this alone

Aqwam Mein Makhlooq-e-Khuda Batti Hai Iss Se
Qoumiat-e-Islam Ki Jar Katti Hai Iss Se

God’s creation is unjustly divided among nations by it
The Islamic concept of nationality is uprooted by it

 
Back
Top Bottom