Ik din, jab mai jaaga tha, bari gehree neend sey
Mainay dekhay, har rang key, char phool watan key...
The Sindhi, the Balochi, the Punjabi, the Pathan...
Chamakdaar, aur behad, Khushrang the yeh phool...
jaisey, neeley aasman, pey chayi ho dhanak ...
Pukar, rahay the mujhko, charon phool... charon phool...
Keh rahey, the mujhsey... tum bhi hum mein sey ek...
Mil ke, hum chamkey gey, roshni ki tarah...
In haseen, rangon sey...Kaamil kardo hamein
Par bharna jab, mainay chaha... unki ore... unki ore...
Mujhko, baandti thi, zaat ki rassiyan
Zimeydaar par iska, na tha Pathan, na Sindhi...
Mai hi tha, jisney banda tha, apnahi mustaqbil ...
Naam tha, in rassiyon, pey Muttahida Qawmi Mahaz...
Par mainay jab, kaha insey, ke jaag gaya hoon mai...
Chor do, tum mujhko, mai hoon phool watan ka,
Phool, ubhartay hai, doosrey phoolon key hi sang...
Par in, rassiyon ney, mujhko ghulam bana liya...
Likh diya, Muhajir, meri bareek shaakh pey... /Laga di mohar, Mohajir ki, meri bareek shaakh pey...
Koshish ki, phir mainay yeh, faraar honey ki qaid say...
Magar, phir woh rassiyan, lehraney lagi thi...
ban, gayin yeh rassiyan, dehshat-angez saamp...
Jakar liya, mujhey aisay, jaisay hoon mai shikaar...
Mainay dehshat sey, uski nazron sey, jab milayeee nazar...
Baray ghussey sey, bari magroori sey, usney mujhsey kaha...
Mai Altaf hoon, muhafiz hoon, main Muhajir qawm ka...
Mainay himmat ki, ussey kaha, phir chor do mujhey...
Watan hai yeh, mera bhi, mujho hissa leynay do...
Alag na karo... mujhsey tum... merey in phulon ko...
Par usney, mujhey jakar liya, jaisay mujhmey jaan hi nahi...
Qaid, kar ke rakh liya, uss zalim Altaf ney...
Weerani, chaa gayi jaisay, udhasi ki leher...
Akeley mein, sochta tha, yeh mainay kya kiya...
Apney, hathon sey, apna mulk jala diya...
Phoolon, key beech hai, ek bandhan bara haseen...
Waisay hi, jaisay naslon mein, hai rishta yeh haseen...
Azeem uss, rishtey ko, humney ek pal mein mita diya...
Janam, hai diya humne, Altaf ko yahan...
Par is, mayusi mein, mainay yaad kiya...
mere khawb, mere sapney, mera guzra huwa kal...
Kaisay, mainay banaya, apney khoon paseeney sey...
Pakistan, banaya, qurbani bhi di...
Is, watan ke liyey, kitno ney jaanay di...
Mainay, hosla kiya, seena taan liya...
Mita di mainay, woh mohor, Muhajir ki shaakh say...
Rakh liya, mainay naam apna, Pakistan...
Chaa gaya, ek dam sey, azeem ujala...
Suraj ko bhi, sharminda kardey, thi woh aisi roshni...
Aisi chamakdar, khuda daad thi, main shagufta ho gaya...
Ek hawa chayi, mujhey bahoon mey, ley kar woh chal pari...
Puhcha diya, mujhey bagh mein, khiltay jahan pey hai phool hi phool...
Ab mil key insey, banaun ga mein, ek naya Pakistan...
Hoga is watan mein ab har rang ka phool...
Sindhi, Balochi, Punjabi , Pathan... kahlayen gey yahan Pakistan...
Har phool azad, ab hoga, na hogi ab nafratein...
Apni ghalti, sey mainay yeh seekha...
Apney logon se, juda na hona, yehi hai Quaid ki Dua...
Zameen meri, aati hai, sab sey pehley...
Pakistan, hai toh hum hain, warna hum kuch bhi nahi...