What's new
T
Reaction score
0

Profile posts Latest activity Postings About

  • You're 'interests' in the 'About Me' section says 'Adventure, Parrots' ? Tell me more about what the adventures you've had with the 'parrots' ! :D
    Nahin behan, Israel ko tasleeem kar liyaa jai kiyunk kei : 1) Hum tasleeem karein na karein - it still does exist, hamarei na karnein seh woh khattam nahin ho jai gai ! And 2) Eik 2 state solution ke liye i.e a Palestinian homeland and a Jewish homeland, jo Palestinians khud khetei hain, uss ke liye donon ko recognize karna parei ga hence - 2 states .
    Zahri si baat hai ke duniya ke saare Musalmano ko Masjid-e-Aqsa aur Baitul Muqaddas se pyaar hai...

    Waise meray khyal se woh jo pehle zamane main thaa - Salahuddin Ayyubi ne jab Jerusalem fatah kiya thaa us se thora sa pehle jaisa mahol thaa ke Muslims, Christians aur I think Jews bhi sabhi ke liye Jerusalem open thaa... isko aik sacred place bana dain ke jis per sabhi ka control ho. Eesaiyoun (Christians) ki bhi sab se muqaddas jagah wohi hain, Musalmano ki bhi Ka'ba se pehle ka qibla wohi hai, Yahoudiyoun ke liye bhi sab kuch woheen hai... koi aisi strategy jis se in sab ka control barqarar rahay hai aazadi ke saath har aik banda wahan jaa kar apni eebadat kar sakay... warna hamesha yeh teeno mazahib aapas main larte hi rahain ge
    Sach to Allah behtar jaanta hai lakin meri understanding is tara hai ke jis tara Pakistan main Falasteen ko dekhaya jaata hai woh bhi ghalat hai aur jis tara Israel walay duniya ko dekhate hain woh bhi ghalat hai. Bohat logon per Falasteen main zulm hota hai lakin aik bohat bari campaign aisi bhi hai jo jaili pictures kheench kar mazeed aag bharkati hai. So I think in dono mulkon ka masla jald hi hal hona chahiye lakin agar aisa kahain ke lakhon falasteeni shaheed kar diye gaye hain to shayad ghalat ho ga... lakin is main bhi sachayi hai ke bohat se begunah log falasteen main Israel ki zalimiyat ki waja se Shaheed ho chuke hain.
    Mera stand Palestine pe wohi hai jo aap ka hai.. aur hopefully woh ab debate nahi karay ga... lakin usay pictures post karne ka poora haqq hai kyounke thread title "Palestine in Photos" hai - so picture Palestine ki achi side ki ho ya buri side ki --- dono hi allowed hon gi
  • Loading…
  • Loading…
  • Loading…

Back
Top Bottom