What's new

Urdu Poetry

ā.īna kyuuñ na duuñ keh tamāshā kaheñ jise
aisā kahāñ se lā.ūñ keh tujh sā kaheñ jise

hasrat ne lā rakhā tirī bazm-e-ḳhayāl meñ
gul-dasta-e-nigāh suvaidā kaheñ jise

phūñkā hai kis ne gosh-e-mohabbat meñ ai ḳhudā
afsūn-e-intizār tamannā kaheñ jise

sar par hujūm-e-dard-e-ġharībī se Dāliye
vo ek musht-e-ḳhāk keh sahrā kaheñ jise

hai chashm-e-tar meñ hasrat-e-dīdār se nihāñ
shauq-e-ināñ guseḳhta dariyā kaheñ jise

darkār hai shaguftan-e-gul-hā-e-aish ko
sub.h-e-bahār pumba-e-mīnā kaheñ jise

'ġhālib' burā na maan jo vaa.iz burā kahe
aisā bhī koī hai keh sab achchhā kaheñ jise

yā rab hameñ to ḳhvāb meñ bhī mat dikhā.iyo
ye mahshar-e-ḳhayāl keh duniyā kaheñ jise

hai intizār se sharar ābād rustaḳhez
mizhgān-e-koh-kan rag-e-ḳhārā kaheñ jise

kis fursat-e-visāl pe hai gul ko andalīb
zaḳhm-e-firāq ḳhanda-e-be-jā kaheñ jise

Reference: [1] Rekhta
 
.
hg450.jpg
 
.
Back
Top Bottom