What's new

Mai bhi Kaffir , tu bhi Kaffir

rockstar08

BANNED
Joined
Sep 18, 2013
Messages
11,096
Reaction score
-16
Country
Pakistan
Location
Pakistan
This is Poem i wrote long time ago ... and today i found somewhere in my Email so i am sharing it here ..
i am sure i never post it here :)
i know its kind of copy of another Poem by someone ..

by Rockstar08

Mai bhi Kafir , Tu bhi Kafir
meri nazar mai tu sab hi kafir

Meri aankhon ke aanso kafir
aurat ke khule gaysoon bhi kafir

meri aankhon ka yeh rang kafir
mere pehne aurdhne ka dhang bhi kafir

meri Masjid ke namazi kafir
mazaar pe ane wale haazri bhi kafir

mera tu deen imaan kafir
sindhi , baluch aur pathan bhi kafir

mere haathon mai yeh phone kafir
sadak pe pardha na haq khoon bhi kafir

meri Taleem ka mayaar kafir
mere mustabil ka maymaar bhi kafir

mere souchne ka andaaz bhi kafir
galib , iqbal aur faraz bhi kafir

mere ghar ki har cheez kafir
zindagi bhar jo seekhi woh taameez bhi kafir

mere Namaz pardhe ka tareeqa kafir
mere mazab ke alag fareeza bhi kafir

mere ghar pe ata jo Akhbar kafir
mera roza , sehri iftaar bhi kafir

yeh sooraj aur chaand kafir
mera yeh kamzoor imaan kafir

meri darhi katwane ka faisla kafir
meri salwaar ka uncha paincha bhi kafir

meri topi aur sir ke baal kafir
Qurbani jo ki uss ki khaal bhi kafir

mere foreign ke rishtedaar kafir
meri zaakat ka haqdaar bhi kafir

mere hajj ke Arkaan kafir
yeh fatwee aur farmaa kafir

meri izzat aur aabroo ke rakhwale kafir
taxi , bus , rickshaaw wale kafir

dukaano pe bikta samaan kafir
masjido ki yeh azaan bhi kafir

mere shaheed ka janaza kafir
waqt-e-zaroorat ka taqaza bhi kafir

mere bhai ki shaadi ka shebaala kafir
meri har khushi ka shamiyana bhi kafir

mere mustaqbil ka hawala kafir
Arfa , aytizaz aur Malala bhi kafir

mere mazhab pe mera ikhteyaar kafir
uthaya jo jihad ke liye woh hatyaar bhi kafir

mera firqa , maslaq , deen kafir
utha ker dua mai hath jo kaha Aameen bhi kafir

paida hua maa ki kook se tu kehlaya kafir
baap ke hath se khaya jo niwala kafir

mere chehre pe jhalakti khushi kafir
haar ke jo ki woh khud kushi bhi kafir

meri zindagi ke saare gum kafir
meri Aashiqi , mehboob aur sanum bhi kafir

mera doctor kafir aur dawa bhi kafir
rab ki bargha mai bheji dua bhi kafir

mere mulk ka yeh nizaam kafir
mere quaid ka farma kafir

mere mulk ke darakht aur bhagaat kafir
zindagi deetay yeh jungalaat bhi kafir

mere mulk ki naadiyan samander kafir
Aaalo , piaaz , tenday chukandar bhi kafir

mere mulk mai chalti yeh hawa bhi kafir
adaab mai jhukhti yeh niggha bhi kafir

jhanday ka yeh chaand sitara kafir
sara ka sara mulk humara kafir

Eid pe banti yeh Siwaiyaan kafir
gair muslim ki bastiyan bhi kafir

jo hasil ki woh azaadi kafir
apne hi ghar ki barbadi kafir

Haq pe bahaya jo khoon kafir
mar ke mila jo sakoon bhi kafir

mere mulk a quomi tarana kafir
Khuda ka diya sab khazana bhi kafir

mulk ka har bacha kafir
jhoota aur sacha bhi kafir

door se khara tamsha dekhne wala kafir
aage bardh ker madad kerne wala kafir

dil se kiya jo ehsaan kafir
meri nazar mai tu har insaan kafir

mere kafan ka saufaid rang kafir
meri qabar ka golkan bhi kafir

namaz-e-janaza ka imam bhi kafir
gusul dene wala humam bhi kafir

mere tu halal haram bhi kafir
hajj pe bandha aehraam bhi kafir

yeh bhi kafir woh bhi kafir
jo na aya duniya mai woh bhi kafir

is nazam ko pardhne , likhne wala kafir
like ker ke share kerne wala bhi kafir

@Pakistani Exile @Jaanbaz @pak-marine @Irfan Baloch @Imran Khan
 
Last edited:
.
Tu hi Kafir , Tu hi Kafir
Teri nazar mai bhi tu hi kafir :rofl::rofl::rofl:
 
. .
sms-1058.jpg
 
. .
Back
Top Bottom