http://www.defence.pk/forums/national-political-issues/80207-transparency-versus-corruption-4.html
Doob marne ka maqaam abhi nahin aaya han mehnat karne ki baat hai quran ke bataaye hue tareeqe par.
Sir syed ne mehnat ki to murda logoon ko qaom banaa daala.
iqbal ne mehnat ki to jinnah ko quaide azam banaa daala.
jinnah ne mehnat ki to pakistan banaa daala.
Ab kon mehnat kar ke pakistan ko woh jannat banaye ga jis ka khaab ham ko iqbal aur jinnah ne dekhaaya tha?
hamaare aaj ke hukmaraanu ko to pait pooja hi se fursat nahin aur qaom hai ke maree jaa rahee hai.
Mera khayaal hai keh qaom ko quraani datoor ko samajhna chahiye aur us ko poori tarah apnaana chahiye.
ashraafia and mulaanu ke toloon ko qaom ki khidmat se door hi rakhna zaroori maloom hota hai.
Woh log jo quran ko achhi tarha se samajhte hun aur duniya kaise kaam karti hai is ko bhi achhi tarah jaante hun aur un ke dilon main insaniyat ke liye dard bhi ho un ko mulko qaom ki khidmat kaa moqa dena chahiye ta keh woh khud bhi aik namoona hun duniya ke saamne insaaniyat ka aur mulk ko bhi aik guldaste ki tarah duniya ke saamne pesh kar saken ta keh ham deegar bahen bhaiyun ko bhi apne apne mulkun main apne apne hukmaraanu se aazadi dila saken aur sab log mil kar duniya main behtreen maashara qaayam kar saken aik achhe khaandaan ki tarah. Yahee pakistan banaane waalun ka maqsad tha aur yahee quran ka maqsad hai.
Doosre lafzun main pakistan banaane waalun ne pakistan banaaya hai quran ka maqsad poora karne ke liye tha.
ham log aaj khud hi us maqsad ko bhool ckuke hen aur isi liye aaj hamaara yeh haal ho raha hai. Na ham khud chain main hen aur na baaqi duniya. na ham ne quran ko khud sahee tor par samajhne ki takleef gawaara ki aur na doosrun tak is ko sahee tor par ponchaaya aur nateeja hamare saamne hai.
Agar ham apne din badalna chahte hen to ham sab ko apne logoon ko khud apni madad aap ke teht taleem dena ho gi ta keh logoon ko bashaoor banaaya ja sake tab jaa kar log aqal se kaam le saken ge.
apne mulk ki zameen aur logoon ke liye ham ko behtar tadbeer sazi aur naqsha kashi karni ho gi ta keh ham bahot si cheezun main khud kafeel ho saken aur baraamdaat main bi behtar tadabeer se kaam lena ho ga aur daraamdaat ke baare main bhi behtar sochna ho ga ta ke ham apni chaadar main rehen aur us ko badaa bhi saken.
http://www.youtube.com/watch?v=kQSjH1pH1AA
http://www.youtube.com/watch?v=qNgplfM95TQ
http://www.youtube.com/watch?v=soXw_zn9Qqo
http://www.youtube.com/watch?v=c5nRpcmwn9M&feature=related
http://www.youtube.com/watch?v=7ZmXGwQKRqg&feature=related
http://www.youtube.com/watch?v=piBd4LmQIlE&feature=related
http://www.youtube.com/watch?v=1U-1YDvjVIg&feature=related
http://www.youtube.com/watch?v=Yblhsr1O4IQ&feature=related